Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Akta Agarwal Jun 2021
Sabke zindagi ki kuch aesi kahaniyaan hoti h jo logo s chupi hoti h
Jo bsh kuch anjaana sa hota h
Tik wese hi yh kahani h
Isha ki

Logo ka manna tha wo kathor dil wali amir ghamandi ladki h
Pr log kya jaane wo amir ** k v akeli h
Logo ko kya pta ki wo v bsh kuch waqt pehle khudh s mili h
Mohobbat tutne s jada dard apno k ruthne ya bharosha tutne pr hota h
Wo to ek maasum si thi
Ushe to pta hi nhi tha ki wo kabhi esh Isha s milegi jo ki kathor patthar ki trh sakt h
Pr jis waqt ushe fareb, dokha or bewafaae k dard ka ehesash hua
Uski sachchae s jo wo wakif hue to usne apni masumiyat ko khudh k saamne mrta paya
Usne uske dil ko gilli mitti s kathor patthar bnta paya
Usne apne bharoshe pe bharosha kr sb kuch tutta - bikhrta paya
Ush din apne ko hi nhi apno ko v khudh s dur jata paya
Or ush waqt khudh k maut pr khudh ko rota paya
Or fir bn k tayyar hue kathor patthar
Jisko puri trh smjhna aaj v aashan ** na paya
Ankit Dubey May 2019
Shayad mai vo nahi jiski talash har kisi ko hoti hai,
Jisk paas har khushi hoti hai ,
Ek apni hi jindagi hoti hai,
Vo chalte hai jab jameen par,
To duniya unk kadmon pe hoti hai,
aur tu chahta hai man hi man kisi aise ko,
Par tujhe pane ki chahat mere man me har ghadi hoti hai,
Shayad mai vo nahi jiski talash har kisi ko hoti hai....
jo rahte hai mahlon me,
aur jinki duniya sitaron se saji hoti hai,
vo khud hote nahi bheed ka hissa,
balki unk liye kahin ek bheed lagi hoti hai,
vo jindagi ko dekhte nahi,
jindagi unk intjaar me khadi hoti hai,
aur tu hai k unk liye sapne sajati hai,
par tujhe pane ki chahat me meri jindagi thokar khakar gir chuki hoti hai,
shayad mai vo nahi jiski talash har kisi ko hoti hai......
bekar hi unka koi andaaj ku na **,
kitna hi kathor unka dil ku na **,
vo tujhe chahe na chahe kya fark padta hai,
chahe kitne b magroor vo kyu na **,
mere paak saaf dil me base pyar se tujhe kya matlab,
meri jine ki wajah hi tu ku na ** to kya matlab,
tere muh modne se meri saanse hi ku na ruk jaye, tujhe to hasrat hai sirf unki,
duniya deewani hoti hai jiski,
aur tujhe kisi aur ka hote hue dekhkar ye aankhen bujh chuki hoti hai,
kuk shayad mai vo nahi jiski talaash har kisi ko hoti hai,
par tum ** vahi jiski chahat meri jindagi hoti hai,
shayad mai vo nahi jiski talaash har kisi ko hoti hai....
Vineeta rai Nov 2018
Dost to nahi par mere takleef ko samjhne wale hai mere papa...
Meri khwahiso ko apni khwahish samjh kr pura krne wale hai mere papa....
Dard to kv nahi dikhate apna par mere takleef me man hi man rone wale hai mere papa...
Dhub thand barsaat bina dekhe usme khatne wale hai mere papa...
Mere liy duniya se ladne wale hai papa...
Waqt padne par kathor banane wale hai mere papa...
Duniya kaisi hai ye samjhane wale hai mere papa...
Kya khu kaise hai mere papa...
Meri muskurahat aur mere hero hai mere papa...
Love u papa  
Those who love their father nd also my poem then pls like and comment...pls support  
Nidhi Jaiswal Aug 2020
Mano to jeevan ek chah hai
Mritu ek kathor sach
Jo aaya hai so jayega
jise koi jhutla nahi sakta hai

☘☘☘
koi hamare liye fool bo jata hai
Aur koi hamare liye kanta
par in fool bone walo ko hm marke bhi bhula nahi pate hai
Aur kanta bone walo ko yad karke bhula dete hai
hamme kya kami hai jo in fulo ki jagah kante bo jate hai
Aur ye kante aane wali pidhi ko bhi chubha de jate hai
._
☘☘☘☘☘
i had been written this poem when i 'm in class 6th.
Today i remember it,this is based on my own thoughts.
Jo bhi iss duniya me aaya hai usko kuch eaise kam karne chaiye jisse ye duniya unko marke bhi bhula nahi paye.
padhne ke liye sukriya.
Thanks for reading.

— The End —