Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
Shayad mai vo nahi jiski talash har kisi ko hoti hai,
Jisk paas har khushi hoti hai ,
Ek apni hi jindagi hoti hai,
Vo chalte hai jab jameen par,
To duniya unk kadmon pe hoti hai,
aur tu chahta hai man hi man kisi aise ko,
Par tujhe pane ki chahat mere man me har ghadi hoti hai,
Shayad mai vo nahi jiski talash har kisi ko hoti hai....
jo rahte hai mahlon me,
aur jinki duniya sitaron se saji hoti hai,
vo khud hote nahi bheed ka hissa,
balki unk liye kahin ek bheed lagi hoti hai,
vo jindagi ko dekhte nahi,
jindagi unk intjaar me khadi hoti hai,
aur tu hai k unk liye sapne sajati hai,
par tujhe pane ki chahat me meri jindagi thokar khakar gir chuki hoti hai,
shayad mai vo nahi jiski talash har kisi ko hoti hai......
bekar hi unka koi andaaj ku na **,
kitna hi kathor unka dil ku na **,
vo tujhe chahe na chahe kya fark padta hai,
chahe kitne b magroor vo kyu na **,
mere paak saaf dil me base pyar se tujhe kya matlab,
meri jine ki wajah hi tu ku na ** to kya matlab,
tere muh modne se meri saanse hi ku na ruk jaye, tujhe to hasrat hai sirf unki,
duniya deewani hoti hai jiski,
aur tujhe kisi aur ka hote hue dekhkar ye aankhen bujh chuki hoti hai,
kuk shayad mai vo nahi jiski talaash har kisi ko hoti hai,
par tum ** vahi jiski chahat meri jindagi hoti hai,
shayad mai vo nahi jiski talaash har kisi ko hoti hai....
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
1.9k
 
Please log in to view and add comments on poems