Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Yatharth lakhan Feb 2014
Mene suna he ki vo aaj bhi vahi intazar karti he
shayad ab bhi mujse pyar karti he
mene nahi chaha kabhi usase juda hona
par vahi he ke jamane se na jane kyo darti he
ham to yaado ke sahare ji lenge uski
or vo he ke yaado ko dene se darti he
kya hoga gar chal bhi gaya pata jamane ko
fikr mat karo kuch logo ko kisse mil jayenge is jalim duniya ko sunane ko
bare gor se sunegi dasta ye hamari duniya
kabhi na kabhi yad to karegi
is jamane ke dar se bhichade ham divano ko
Ain Sep 2020
Haan...
Mujhe ab bhi woh din yaad hai...
Hui zindagi jab se aabaad hai...
Suni teri dharkan thi jab ki woh pal...
Lagta hai jaise bas guzra tha  kal...
Aaj...
tu meri beti, khud Mumma bani hai....

(Yes...
I still remember that day...
Since my life has been domiciled
That moment when I heard your heartbeat for the first time...
Feels like that moment has passed just yesterday....

Today....
You my daughter, have become a mother...)


Haan...
khushi se jo aankhein thi nam yaad hai...
Hui tujh se poori jo fariyaad hai...
Thi mujh ko hamesha se chahat teri...
Ki tune mukammil hai duniya meri....
Aur Aaj...
Tu meri beti, khud mumma bani hai....

(Yes....
I remember how my eyes flooded out water in joy...
In you I found all my prayers answered
I had always desired you...
You have completed my world...

And today...
You my daughter, have become a mother...)


Haan...
Tere is hunar par tha mujh ko yaqeen...
Kabhi to banegi tu maa behtareen...
Teri qubiyon par, amal par tere...
Kiye tune sabit gumaan ko mere....
Kyunke Aaj...
tu meri beti, khud Mumma bani hai....

(Yes...
I always believed in this talent of yours
Some day you will be an amazing mother
The confidence I had in your skills and natural aptitude
You have proved me correct in my feelings

Because today....
You my daughter, have become a mother...)

Haan..
Teri aankhon mein aaj jo pyaar hai...
Umr bhar ke rishte ka iqraar hai...
Atoot hai jo rohani yeh taar hai...
Wohi to har ek maa ki talwaar hai...
Jaise Aaj...
Tu meri beti, khud mumma bani hai...

(Yes...
The love that exists in your eyes today
The commitment of a lifelong relationship
It’s a divine thread non-breakable
And that (the love) is every mother’s sword...

Like today...
You my daughter, have become a mother...)

Haan...
Dua “Ain” hai maa ki tere liye....
Har ek pal ** khushiyon ka tu jo jiye....
Banegi tu jab naani ek din kabhi...
Meri dil ko mehsoos karegi tabhi...
Khair aaj...
Tu meri beti, khud mumma bani hai....

(Yes...
Your mothers prayers for you from her core...
Every moment that you like may be filled with happiness...
And one day when you will become a grandma
Then you will know how my heart feels right now...

However today...
You my daughter, have become a mother...)
Pratyush Jul 2019
Khubsurat sa desh tha pehle hamara,
Khub tareef karta tha yeh zamana,
Baat thi kuch uss desh meh nirali,
Kyuki Charo aur thi bas hariyali,
Badal chuki hai mere desh ki laali,
Tut chuki hai bhaichare ki daali,
Apne de rahe hai ek doosre ko gaali,
Aaj koi saath nahi manata holi ya diwali,
Kaha gayi mere desh ki voh hariyali,
Bandha hua hai desh dhaago se kaali,
Kaat dena hai voh dhage hume saari,
Banate hai desh ko jaise ek madhur kawaali,
Vapas aayegi mere desh meh voh laali,
Tareef karegi hamare desh ki duniya saari,
Saath milkar raho mere desh vaasi,
Door rahehi bhedbhav ki voh saaya kaali.

— The End —