Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shibu zs Mar 2015
Chahay Mujreem Samjhay Ya Koi Gunah Gaar Humain,

Saaf Kehtay Hain K Ek Shakhs Se Hai Pyar Humain,

'Dil De Diya Hai Us Ko To Ab Mukkarna Kaesa?',

'Pyar Kiya Hai Hum Ne To Halaat Se Darna Kaesa?',

Apne Is Juram Ka Iqraar Hai Soo Bar Humain,

Saaf Kehtay Hain K Ek Shakhs Se Hai Pyar Humain,

'Hum Ne Mana K Humain Jaan Se Jana ** Ga',

'Jaan De K Bhi Humain Pyar Nibhana ** Ga',

Lo Suno 'Dost' Tark-e-Muhabbat Se Inkaar Humain,

Saaf Kehtay Hain K Ek Shakhs Se Hai Buhat Pyar Humain,..
.
.

.....zs......
Bleeding Doc May 2018
ishq pyar mohhabat
ye sabd paraye lagte hai,
anjan *** inke mayano se
ek ehsas iss dil me jise me
mohabat samazha karta tha
jisse dard ke siwa kuch na mila

yeh mehsoos bhi nai hua ki
apne he apnon ke  pankh
kat chuke the,
talash thi to bas us kandhe ki thi
jo iss ladkhadate hue ko sahara de sake

fir bhi, dhire dhire iss katon ki
chadar par aage badna hai,
dil yehi kehta rehta hai,
kyunki jhuthi hansi ki kuch
aisi adat si ** gayi hai,
ki ab chahte hue bhi dard
ka ehsas nahin hota hai

naa paresaniya, naa halaat na he koi rog hai
jinhonw hame sataya hai aur koi nahi
wo jhuthe log hai, wo jhuthe log Hai!

jhuthe logon ki duniya me
sachai ki kimat kon jaanega,
toot kar bikhar jayega
jo inse ulajhne ki thanega,
bhalai hai dur rahe aise logon se
jo achai ka naatak karte hai
dhakel denge ye bure daur andhere me
jo girega nikal naa payega!
ishq pyar mohhabat paraye paresaniya rog jhuthe logon ki duniya me
Phir se ja raha hai tu
Wohi raah me jo chhor chuka hai tu
Kashmkash si jindagi ke safar me
Najane kanha kho chuka hai tu
Nadaan se anjaan sa ** gaya hai tu
Dhoop me tadapta jaan ke
Kyu itna phoolon se baat karta hai tu
Pagal sa tera dil ...
Kyu itni saari dillagi me doob gaya hai tu
Waqt se naraaz hai
Par halaat me dard  e junoon me
Pyaar ki talash me ghumsum sa ghum raha hai tu ... Najane kanha kanha??
Aakhir Laut ke mehkhane me so gaya hai tu!!
Survived Mar 2019
kaash ki yeh itna aasan hota
ki tumse baat krne se pehle
itna sochna na hota

thoda puch lete hum tumhre baare mai
thoda bata bhi dete hum aapne dil ke halaat
thoda haas lete tumhre sath mai
thoda roo bhi lete tumhri yaad mai

bata dete tumhe wo sarri baaten
dikha dete tumhe wo sare alfaaz
suna dete tumhe dharkane aapni
sunn bhi lete tumhri madhor awaz

thodi der k liye hi tumme wapas kho jate
es aandheri duniya se kahi dur chle jate
tumhre sath kuch aur pal bhi bita lete
khud toh thoda sa pyaar bhi kr lete

Par kaash ki yeh itna aasan hota
tumse baat krne se pehle
itna sochna na hota.

— The End —