Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
Jab bhi khush hota hu ye sochkar k kuch aur paas aye ** tum mere,
Kismat har baar tumhe aur door le jati hai....

Har baat yaad karne lag jaata hu jab bhi mai,
Teri majboriya mujhe kuch aur yad karne ko majboor karti hai.....

Tere pyar me tujhe sochkar hi tere aks ko choone ki jab jab koshish karta hu,
Har bar kismat mujhe khud k koi aur hone ka ehsas karati hai.....

Har jarre me jab teri tasveer najar aati hai,
Tab bhi na jaane ku aankhon se ojhal hone lagti **......

Bhoolkar bhi agar koshish karoo k ye ehsaas hi bahut hai k tum meri **,
Naa jaane ku tu un ehsaason me bhi kuch aisa kar jati hai,
k yaad rakhta hu tumko aur tu kuch aur door chali jaati hai.......

** gya hu adat se majbur fir bhi tumhe pyaar karta hu,
aur ye dillagi hai k har baar tumhe aur pyar krne ko majboor kar jati hai......
Ankit Dubey May 2019
jindagi na jane kis mod pe khadi hai,
na rasta dikh raha hai,
na manjil hi dikh rahi hai,
dikhta nahi najara ,
na hi koi aas dikh rahi hai,
hai jindagi tumhari,
ise apna tum bana lo,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai......
na tum dikh rahi **,
na tumhara aksh dikh raha hai,
besudh hua ja raha hu,
yaad aa rahi hai,
chirag dil ka jala bhi loo to,
ankhen hai nam itni,
k roshni bhi bujh rahi hai,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai.....
na sath chootta hai,
na sabra tootata hai,
na aate ** tum kareeb hi,
na doori hi kargar hai,
na yaad teri jaati,
na bandish hi choot pati,
ab aur na rulao,
k aanso b ro rahe hai,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai....
tera yakeen bhi hai,
fir b hai dard footta ,
tu hi to rahnuma hai,
tujhme hi alam-ae-tasavvur,
na ji sakunga tum bin,
hai kar diya muqarrar,
mere kareeb aao,
dard badhta hi ja raha hai
jindagi na jane kis mod pe khadi hai.....
ab mujhme fanaa ** jao,
mera vajood tera ,
tera har wakayah hai mera,
tu hi to ishk-ae-rangat,
hai khuda ki tu inayat,
jo likhi hai usne aayat,
tujhme hai rooh meri ,
meri har aarjoo hai tu hi,
bas karo hajoor mere,
meri saanso ko rok lo tum,
sath chootta hi ja raha hai,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai.....
ab rah gayi na himmat,
k ji sakun tere bina,
aao kareeb aao mujhko tum bacha lo,
mai ** gaya hu farkat,
kisi aur ki wajh se,
na husn ki hai chahat,
na ****-o-sangmarmar se dillagi hai,
tujhme hai rab mera,
bas tujhko hi chahta hu ,
tujhko hi mangta hu,
rooh se rooh tum mila do,
kuj aur na mangunga,
meri jindagi me aao,,
rag rag me sama jao,
tere bin nahi hai jina,
maut kareeb aa rahi hai,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai.....
hai akhiri ibadat,
deedar-ae- rahnuma mai kar loo,
vo usko ek pal k liye chod de,
mai sirf apna bana k bahon me unko bhar loo,
jindagi hui khush,
bas god me aankhen band ** jaye,
saanse bhi ruk jaye,
har pal k liye tere kareeb aa jaun,
bas tujhse lipat jaun,
har pal k liye so jaun,
jindagi na jane kis mod pe khadi hai....
koi shikwa nahi rahega ,
tera kisi ka hona,
kisi aur ki fitrat,
kisi aur ki amanat,
ab himmat nahi hai mujhme,
k tumhe kisi aur ki banau,
chala jaunga mai ek din,
bas shant jindagi me,
ek nayi hi hogi duniya,
bas tum aur mai honge,
na koi aur hi rahega,
na koi hak kisi ka hoga,
bas mujhme bhi tu hoga,
aur tujhme bhi mai rahunga.......
Kasoor e kaabil
Tu dur e manzil
Darta yeh musafir
Dillagi mein mazbur
Ishq ki fursat kanha?


...
Kaise kaise kaise
Teri yaad me
Mein tadapta
Waise waise waise

Wajah jaise ki
Jo bhi **
Pyar aur jakham

Ghum e shayari ** tum
Khafa khafa se hum
Chand aur Suraj ki tarah...
Roz me Dekhu...
Keval tum tum tum

Subhah subhah..
Raat e raat ek  dillagi si
Woh na Jane Kanha...
Aur mein phirta rehta hu
Yanha wanha...najane Kanha Kanha...
Maikhane...me ghulmila ab me tere bin
...
..
..
.

.

..
...
..
Phir se ja raha hai tu
Wohi raah me jo chhor chuka hai tu
Kashmkash si jindagi ke safar me
Najane kanha kho chuka hai tu
Nadaan se anjaan sa ** gaya hai tu
Dhoop me tadapta jaan ke
Kyu itna phoolon se baat karta hai tu
Pagal sa tera dil ...
Kyu itni saari dillagi me doob gaya hai tu
Waqt se naraaz hai
Par halaat me dard  e junoon me
Pyaar ki talash me ghumsum sa ghum raha hai tu ... Najane kanha kanha??
Aakhir Laut ke mehkhane me so gaya hai tu!!
Kabhi haan kabhi na
Aise hi chalta ...phirta raha dil
Ek disha se dusri disha
Aur waqt mazbur
Kehta dil thoda ruk ja
Thoda sambhal ja
Aakhir kya iraada hai tera?
Kya koi wada hai tera?
Ab toh tere khyaal me rehta hu
Tu kyu itna sochti hai...
Mein toh dillagi se ishq ke khwaab
Mein   tujhe dhoonda
Sapno me
Tu mil bhi gayi
Par achanak kanha chali gayi
Mein sochne laga..
Aur
Mehfil e jaam
Mein khud ko tabah kar diya
Ek awaargi ke alam me
...

— The End —