Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Bleeding Doc May 2018
ishq pyar mohhabat
ye sabd paraye lagte hai,
anjan *** inke mayano se
ek ehsas iss dil me jise me
mohabat samazha karta tha
jisse dard ke siwa kuch na mila

yeh mehsoos bhi nai hua ki
apne he apnon ke  pankh
kat chuke the,
talash thi to bas us kandhe ki thi
jo iss ladkhadate hue ko sahara de sake

fir bhi, dhire dhire iss katon ki
chadar par aage badna hai,
dil yehi kehta rehta hai,
kyunki jhuthi hansi ki kuch
aisi adat si ** gayi hai,
ki ab chahte hue bhi dard
ka ehsas nahin hota hai

naa paresaniya, naa halaat na he koi rog hai
jinhonw hame sataya hai aur koi nahi
wo jhuthe log hai, wo jhuthe log Hai!

jhuthe logon ki duniya me
sachai ki kimat kon jaanega,
toot kar bikhar jayega
jo inse ulajhne ki thanega,
bhalai hai dur rahe aise logon se
jo achai ka naatak karte hai
dhakel denge ye bure daur andhere me
jo girega nikal naa payega!
ishq pyar mohhabat paraye paresaniya rog jhuthe logon ki duniya me
Bleeding Doc Jun 2018
Barsat ki Ek raat dil ne dimag se pucha,  jo Badal raha wo 'waqt' hai?  
  waqt to Aaj bhi waisa he hai  bachpan me jaisa hota tha wohi savera wahi sham Or baki cheeje tamam
Par tab naa bhigne se lagta tha darr  or  naa sardi jukam,
or wo pani ki shrarate tamam
Jinki Yaad bhar se aa jati hai hothon pe muskan  
par ab aisa kya hua jivan ki iss Dagar me
kahan bhatak gaya in jhuthe rit riwazo me
Kaise jivan ke Arth badalte gaye
Kyo ek funny poem likhne wale
Emotional likhne pe majboor ** gaye

Hawa k jharoko se kashti hilti gayi
waqt k sath mein tau badlta gaya
aur yeh zindagi chalti rahi

pal pal nayi hasratein
har pal naye khwab bunti gayi
aur yeh zindagi chalti gayi

raah mein manzar tau bahut aaye
bulate rahe mujhe mere saaye
mein tau ek pal ko ruk sa gaya
par yeh zindagi chalti gayi

yaadon k saaye mein zinda *** abhi
lagta hai tham sa gay *** mein kahin
par zindagi bewafa sanam si nikli
mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi

jindagi har pal apne arth badalti rahi
ham hanste rahe chahhe rote rahe
par woh apni rafataar se bas behati rahi
kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar
woh  hame har mod per milti rahi
ham tutate rahe, bikharate rahe
 fir khud hi gir ke sambhalte rahe
aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi

gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage
khushiyuon  ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi
kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat
apne hi jab todate rahe......
toh saans meri har pal ghutati rahi
bas jindagi yuh hi chalti rahi
har pal apne arth badalati rahi
Shrivastva MK Oct 2017
Dil todkar mera aaj wo apna dard  dikhane chale hai,
Pyar ka naam badnaam kar aaj wo pyar sikhane chale hai,
Kal tak jinhe parwaah na thi meri,
Aaj wo phir se jhuthe humdard dikhane chale hai...

Kitne azeeb hai log jo palbhar me badal jate hai,
Sukh me sab sath rahte dukh me ojhal ** jate hai,
Jinpar hum khud se jyada bharosha karte,
Aksar wahi ek din dil tod jate hai,

Khud dard dekar aaj meri galatiyan ginane chale hai,
Kal tak mera mazak udate aaj apne aap ko masoom btane chale hai,
Bankar bahurupiya mere samne,
Aaj wo phir ek naya roop dikhane chale hai...
Ek naya roop dikhane chale hai....
I can't love n hate her becoz I don't wanna keep a single memory of her,
Mandeep kaur Dec 2020
Meri zindgi ka hissa nhi hai mera pyaar..

Whi hai mere jeevan ka adhaar.....
Jo dia mene tumhe.... Tum jtaate ** uska abhaar....
‎are meri jaan... Smjho na... Ye pyaar hai nahi hai koi vyapaar.....
‎tu hai jese.... Baadlo me behtaa chand....
‎bchpan me wo sath chalta suraj....
‎baarish ki wo pehli boond....
‎sukun itna ke teri awaaj sun.. lu me apni aankhe mund....
‎maanti hu hum alag hai or thodhe se alag hai vichaar....
‎par jo do oppsite ko ek krde.... Whi to hota hai na pyaar....
‎or pyaar hi hai mere jeevan ka adhaar....
‎kuch tum smjh jana kuch me smjh jaungi....
‎2 kadam tum bdhana me 10 kadam aage aa jaungi....
‎bina kisi mol bhaav ke tumse pyaar jtaungi....
‎par thodha sa tum mujhe smjhna....
‎meri ajaad soch ko bandhno se mat jkdhna....
‎yu jra jra c baat pe... Dunia ke bnaaye jhuthe riwaaj se.... yu logo ki kahi baato se....
‎tum is paak pyaar ko mere mat prkhna....
‎jab hogi chandni raat me tumhaari chandni me bhigungi....
‎par amaavas ki us raat me banke aaungi tumhaare dil ka kraar...
‎suno...
‎meri zindgi ka hissaa nahi hai pyaar....
‎ye to hai mere jeevan ka adhaar
Mandeep

— The End —