Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member

Members

Aishwarya Nair
Stamford, CT    Buddhist. Penny Lane. Lover of all things living. Silver Lining Idiot. Closet nerd. Adventure seeker.
Aishwarya Ezhava
21/F/INDIA    A high-spirited young girl :)
Aishwarya Das
Nepal    I am a sixteen year old student in Nepal almost finishing my 10th grade and yeah, I'm in love with words.

Poems

Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Zindagi aapse hi khubsurat hai humari,

Aapke sang hi rehna humein umar saari.


Har janam aap hi humsafar ** humare,

Yahi dua hai us neeli chhatri wale se. 


Ye dhadkane bhi ruk si jaati hai aapse jab baat ni hoti,

Aapki wo tagri daant bhi sacchi humein bhut pyaari lagti.


Is Dil ki har dhadkan Kuch kehna hai chahti,

Sirf aur sirf aapke pass rehna chahti ji.


Aapka Naam hi tou humare naam ko pura krta,

Aapki muskaan dekh ke hi ye dil humara bhi dhadakta.


Ye meelon dur ki duriya humara Kuch ni bigaad sakti,

Aapki tasveer seene se lagake hi Roz soti.


Ek aap hi apne apne se lagte **,

Aap pass ** tou bhul jau duniya ko.


Kaise kahu mai aap kitna mayne rakhte **,

Jo dua us ishwar ke darwaze pr roz hum Kare wo puri **.


Humesha har kadam par saath saath rahein hum dono,

Koi bhi Juda na kar paaye humko.


Aap Jaise fikar karte, pyaar karte aise koi bhi nahi kar sakta,

Is sacchi mohabbat sacchi shiddat se hi jeene ka dil karta.


Jeene ka sahara jeene Ka matlab hi aapse hai mere saathiya,

Aap saath ** tou saanse chalti hain mere mahiya.


Mai hu aapki in haathon ki lakeero mein,

Aapko paakar sabse qismat wala bna Diya uparwale ne.


Khushnaseeb hai humari taqdeer jo aap humko mile.

Aapke aane se zindagi mein phul khile.



Jo labz  hothon se keh Nahi paate,

Wo bhi aap samajh ** jaate. 


Dil Ka dard jab bayan Nahi karte,

Wo bhi aap itni dur se pata laga lete.


Har dard har jhakam apne aap thik ** jaata,

Jab ye Dil us pyaare se Dil ke seene se lag ke sukoon paata.


In hawao ki sarsarahat ke zariye wo ehsaas bhejna,

Humesha Aapke Saath Hu sunnu ji aapka ye kehna.


Sacchi beintehaa sukoon deta is rooh ko,

Ishwar humesha mehfooz rakhe aapko.


Kadi dhup ki pyaari si chaav aap ban jate,

Har Khushi har aansu ek dusre se baat te.


Wo hi hain zindagi Ke sabse pyaare lamhe har dard bhi lete ** bhaap,

**** se tou har koi pyaar kr leta rooh mein basna kise kehte uski misaal ** aap.


Bhagwaan ji mujhe maaf kr dena,

Aapse bhi badhkar Kisi ko maine samjha.


Inke saamne sajda mai jab bhi karti,

Meri bandagi zindagi dono puri ** jati.


Agar rabb mujhse puche ki tumhein kya du

Mai bina soche bas Aapka naam keh aapko maang lu.


Aap bhale hi duniya ke liye ek insaan **,

Mere liye tou aap hi puri duniya **.


Zindagi ** tou aapke saath warna,

Koi zindagi bhi nahi chahiye mere khuda.


Aapke saath jiyenge aapke sang hi marenge,

Kuch Nahi chahiye humein neele aasman ke neeche bhi aapke sang reh lenge.


Bs aap humesha humare pass humare saath rehna,

Isse jyada Kuch Nahi humko kehna.


Wish you a very very happy anniversary dear sweeeeeetuuuuu ji. Aap ** tou Sab Kuch hai humare pass. ... Sabse most important part of my life is justttttttt you. I love you dheeeeerrrrr saaaaraaaaaa MERI jaaaaaaannn...feeelllll you the mosttttttt. Aap ** humare pass jeene ki wajah hai ... Thankyou so much for always being there with me my dear sweetesttttttttt life partner..❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️ I am soooooooooooo muchhhhhhhhhhhhh luckiestttttt and blesseddddddd to have you munnnnnnnnnnnuuuuuuuu jiiiiii ❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️ bhagwaan ji aapki har manokaamna Puri krein ..aapko dheeerrr saaariiii khushiya de...humesha mehfooz rakhein ...jaldi se aapko success mil Jaye aur aap apni is Dil ki raani ko Apne sang le jao humesha ke liye ❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️ I love you a lottttt more than my life ..my life ..my lifeline ...my everything ....Sab Kuch aap ** .... Happy anniversary sweetuuuu ji❤️❤️❤️❤️❤️
31 may most special one
Pranay Patel Oct 2020
Agar main ishwar hota
To sab kuchh banata bus tujhe chod ke.

Tu hi to kahta hai main
brahmand banaya  per pachtaye
to tab jab main tujhe banaya.

Vaise sahi kahta hai tu main
hindu banaya, musalman banaya,
sikh banaya, or esai bhi banaya
bus insan banaa diya hota to
inke jarurat nahin padati.

Agar main ishwar hota to tere
man mein mere hone ka
bhram paida na hone deta.

Agar Main Ishwar Hota…