Kabhi chale ** un raahon pe Jinse jude ** qisse kaafi tumhaare Jin raahon pe hasi mazaak ki thi doston ke sang Unnhi raahon mein tumne bhare the woh yaadon ke rang
Kabhi socha na tha ki Akele bhi chalna padega kabhi Goonjti hai woh awaaz tumhaari Jab bhi chalta hu un raahon parr Peeche mudke dekh bhi leta hu kabhi Ke mehez dikh jaaye parchayi tumhari Parr dikhte toh woh adhoore waadein he hein Bebas karr rakhe hein mujhe jinhone
Woh baarish..woh dhoop Sabka kiya tha saamna Jab haath tha tumne mera thaama Kya Yaad hai woh fool Jo tod laayi thi tum uss ped se Mere yaadon ke Gulshan mein Khila hai woh fool kabse Hasrat toh dekhiye Woh ped bhi na sambhal paaya Mujhe akela dekhkar Woh bhi murjhaaya
Yahin chalte waqt kaha tha na Ki chodogi nahi yeh haath kabhi Chaahe fariyad ** jaaye humse harr koi Tumhaare usi saath ki khoj mein hu Jise laga liya tha apne rooh se kabhi Sahi kaha tha uss shaks ne ki Manzil nahi raahon mein junoon pao Kyunki manzil toh pahuche he nahi the ke Bewafa karr gayi mujhe uss raah pe akele Kabhi Chalke dekhna Inhi raahon pe akele Yaad karna woh beetein hue qisse Aur ** sake toh mudke dekhna Dikhunga mein usi mod parr Jaahan chod gayi thi mujhe..karke inkar Kyunki badal liye tumne apne raahein Jo kabhi samajh na paayi meri yeh fitoor nigaahein
Some roads remind you of that special someone... This is about one such road... (Hindi)