Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Feb 2017
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shashank K Dwivedi
Written by
Shashank K Dwivedi  27/M/Guwahati
(27/M/Guwahati)   
  19.7k
   Gul e Dawoodi
Please log in to view and add comments on poems