Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Jun 2015
Sare jahan se pyara ye hindostan hamara,
Na ruke the hum na rukenge kabhi,
Badhate chale jayenge lekar yahi nara,
Sare jahan se pyara ye hindostan hamara,

Geet gate chalenge, hath milate chalenge,
Raksha karne ka pran lekar hum apna sar katate chalenge,
Na jhukaye the hum, na jhukayenge kabhi
Mita denge khud ko apne desh ke liye yahi hain pran hamara,
Sare jahan se pyara ye hindostan hamara,

Dekhlo ai dusmano hum pith pichhe war karne wale kayar nahi,
Hum sher hain apne desh ka tum jaise kayar nahi,.
Uncha rahega sda ye TINRANGA hamara,
Sare jahan se pyara ye hindostan hamara,

Kaise bhula de wo sahidon ki purani yaadein,
Jinhone khud ko mita di es desh ki suraksha ke liye,
Chhod chale gye wo khun se latfath yaadein,
Etihas ke panno me likhenge dobara,
Vishwa me sabse uper rahega
Ye hindostan hamara,
hindostan hamara......
IT IS DEDICATED FOR ALL FREEDOM FIGHTERS OF INDIA. EVEN THEY ARE NOT ALIVE BUT THEY WILL ALWAYS ALIVE IN MY HEART.
Shrivastva MK
Written by
Shrivastva MK  23/M/INDIA
(23/M/INDIA)   
8.9k
   ---
Please log in to view and add comments on poems