Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
AWAIS HABIB Mar 2019
Tum kis apnayat ki baat krty **
Yahan to hr koe paraya sa lgta hai

Wo or zamana tha jb gulshan mai bahaar hoti thi
Ab to hr mosam khizaa sa lgta hai

Iss mai hamari ghaulti nahe k badal gy ham
Rukh badal lyta hai dill jb na ashnaa sa lgta hai

Roty huwy dil ko akhir kon pehchaan pyga
Bahir sy jo chehra, muskurata huwa sa lgta hai

Bughaz, gheebat k maary yahan log
Wajud andr sy khatm hota huwa sa lgta hai

Ary! Ye dukrhy han iss jahan k ay awais
Jahan sy tu ab rukhsatt hota huwa sa lgta hai
AWAIS HABIB Feb 2019
Khamosh reh kr b khamosh rehna
Ajb ehsas hai ye zindagi

Jo na chal ska usi ko chalana
Ajb karwaan hai ye zindagi

Jisko b chaho bai wfa nikly
Ajb mohbt hai ye zindagi

Baaty bht han btany k liay
Zamana klam hai ya ye zindagi

Ab to bs thak sa gaya *** awais
Aisa lazawal sfr hai ye zindagi

— The End —