Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
AWAIS HABIB Sep 2019
XVI
Mn kis rasty peh chala mj ko ilm na huwa
Kis makaam peh ja poncha mj ko andaza na tha

Phr b ik umeed hai nazro mai baki
K daiku ga zrur, mn kirno ka aruj

Ye dunya or is k kissy khatm hony waly to nahe
Pr jo khatm hona hai wo hai wajud apna

Ab ye b nahe k haar gaya *** zamany sy mn
Bs na jany kb sy khamoshi ka mn pasnd bn gaya

Ye kahani hai ik ujrhy huwy gulshan ki
Jis ki bahar ko ik zamana beet gaya

Khair hoti rahy gi ye baaty b sath sath
Kabi tum hmko yaad krna tamasha e rozgaar mai....
Meray wajud main yun mera yar raqsan hay
Kay jaisay shukh faseelon pa piar raqsan hay
Nazar hay jati jahan pa wohan hay wo mujod
Kay kis tara say chaman main baharraqsan hay
Jo bhar kay dekha usay ab naheen hay apni khabr
Magr nashay main hon main tar tar raqsan hay
Jo sar main suda samaya watan parasti ka
Hazar rah may ab dekho dar raqsan hay
Na jalti ankhain jalao ka buj na jain kaheen
Ka meri aankhon main bus intizar raqsan hay
Hazar rang ma hay husn piar yak ranga
Ka rang rang main bus ik hisar raqsan hay
Mai Mehr la gia bazi wo ** *** meri
Ka meray charon taraf purdadar raqsan hay

Col Muhammad Khalid Khan
Copyright 2017 Golden Glow
Teri hasi
Me dooba yeh dil

Teri rooh me
Mein ghul gaya yeh wajud

Teri manzil ko
Apni manzil e junnuniyat bana liya

Teri yaad me
Khud ko kurban kar  diya behte hue... pagalpan me...


Phir kya
..


.
Jee rahe hai...
..
..
....
beedi aur daru me
Aur jindagi
Dheere dheere







...
..
.

.........
×
Par kab
Koi pata nahi
Shayad khuch din aur...
Neeraj katta Apr 2019
aaene me dekh kar me apane wajud ko sawal karta tha
ke me kya hu
jawab me aaene kehta ke galtio ka putla hu insaan hu me.
nk
AWAIS HABIB Mar 2019
Tum kis apnayat ki baat krty **
Yahan to hr koe paraya sa lgta hai

Wo or zamana tha jb gulshan mai bahaar hoti thi
Ab to hr mosam khizaa sa lgta hai

Iss mai hamari ghaulti nahe k badal gy ham
Rukh badal lyta hai dill jb na ashnaa sa lgta hai

Roty huwy dil ko akhir kon pehchaan pyga
Bahir sy jo chehra, muskurata huwa sa lgta hai

Bughaz, gheebat k maary yahan log
Wajud andr sy khatm hota huwa sa lgta hai

Ary! Ye dukrhy han iss jahan k ay awais
Jahan sy tu ab rukhsatt hota huwa sa lgta hai

— The End —