Baarish ki har wo boond jab maathe ko chumti,
Hamare ehsaason aur jazbaaton ki kahani gunjti.
Hamari jodi bhi hai bemisaal,
Jaise radha krishna ki di jaati misaal.
Saadgi hai is khubsurat rishtey mein,
Pavitra hai Ganga jal se.
Ek pal ki doori bhi sahi nahi jaati,
Dil ki dadhkane bs ek hi raag alaapti.
Ek dil ke do hain tukde,
Ek hamare paas aur ek unke.
Milkar poora kiya ek duje ko,
Beshumaar khushiyan ishwar de aapko.
Bhale hain hum meelon door,
Aapki wajah se hi hai is zindagi mein noor.
Behti hawa pahucha deti hai us dil tak dastak,
Jhukate hain hum parmatma ke saamne mastak.
Jo bheji thi dua wo aasmaan mein hui poori,
Nahi hai ab zindagi ye adhuri.
Milan karaya hai jab us shrishti rachne wale ne,
Aage ki kahani bhi hai uske hawale.
Aye mere humsafar mera bhagwaan basta hai tujhme,
Jagah hai khaas tumhari is dil mein.