Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aarib Al Tamzeed Oct 2024
Rabab baj rahi thi kahi, jaha khuda bhi naach raha tha,
Phir na jaane kaunsi yaad-e-dard baraat leke agayi.

Naghma jo lehrake aayi, banke sur-e-shahen shah,
Wo sur jo nafs se mile, to khud dard banke beh gayi.

Aye mere jaan-o-dil, jamal-e-mah suna teri nazm-e-kamal,
Hum to ro rahe hain, jab se teri lafzon, aasu ban ke beh gayi.

Andaaz mat pucho koi, apna batane layak nahi rahi,
Khair agar puch hi liya hai, to kya batayen, koi andaz hi nahi rahi.

Bata to denge hum, par koi kyun sunega,
Khair agar sun hi liya hai, to sun ke bhi kya samjhega.

Baatein to bohot hain, gar koi sunna chahe to,Par kaun sunne ke liye baitha rahe?
Khair agar baith hi gaya **, to ek be-kafan lash ka,Nazm-e-ashk bhi sun ke jao.

Ro to nahi rahe the hum, wo kam to apna lafz kar raha tha,
Achanak wo rabab yaad agayi, jis pe khuda nach raha tha.

Hum to baithe the, ab khare ** gaye,
Na jaane apna rone ki awaaz, us mehfil ko kharab na karde.

Ab mai chal raha hoon, kahi aur jaa raha hoon,
Kidhar jaa raha hoon, utna nahi pata,
Bas rabab se dur chala jaun,
Nayi mehfil sajane, udhar firse nazm-e-ashk bhi suna na hai.

— The End —