Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Kuch pal me pal do pal ka safar
Jaise ki ghungroo bhari nadiyon me
Chham chham ek awwaaz e junoon
Mein chala gaya nadiyon ke bahaav me
Waqt ne karvat liya....
Aur mein doob gaya pyaar me
Pura ka pura...
Shrivastva MK Jun 2017
Kitni azeeb hai ye Duniya kitne ajeeb log,
Koi kisi ko dara rha, kuchh sahme sahme se log,
Bada muskil hai esko samjhna,
Yaha palbhal me baldate hai log,

Humne bhi socha tha Ki jawane ko badalenge hum,
Ek nayi soch ke sath ek hokar chalenge hum,
Par ye dekh kar dil tut gya Jab ek hi dali ke chaar phoolon ne kaha,
Nahi hum khilenge,aur nahi ek dusre se milenge hum,

Roh deti hai kalam bhi likhkar dard jawane ka,
Kuda-Kachra nadiyon me kya haal bna diya Bharat ke khazane ka,
Roti ke liye tadapte sadak par log,
Aur yahan pariyojna chalai ja rhi desh ko smart banane ka,

Gareeb ko roti kapda aur makan chahiye,
Kisano ko es desh me apni ek pahchan chahiye,
Sabhi ko samjhe ek barabar,
Aisa deshbhakt insaan chahiye,
Aisa deshbhakt insaan chahiye....
So ashamed to watch and write the real figure of Indian village and their peaples here lots of problems and leaders come at the term of election after electing they havent come till day...
...
Gourav R Dwivedi Aug 2023
Dekho mai tumse kitni mohabbat karta ***
Jitna khuda apne bando se karta hai

Dekho mai tumse kitni mohabbat karta ***
Jitna ye Sagar nadiyon se karta hai

Dekho mai tumse kitni mohabbat karta ***
Jitna ye parvat ye van barish se karte hai

Dekho mai tumse kitni mohabbat karta ***
Jitna ye phool ye baharon se karte hai

Dekho mai tumse kitni mohabbat karta hu
Jitna khuda apne bando se karta hai
Just popped into my head
Mein ghuma
Tum ghumi
Gali gali...

Phir waqt beeta  waqt
Tumhe gumte gumte dekha
Pyar se pyaraa
Nadiyon ka Sahara
Jagmag taara
Aur hum dekhne lage...
Ek dusre ko ...khuch is tarah...
Aur phir chala ishq ka shilsila...
Chalta raha
Chalta raha
Ishq e junooniyat
...shukriya shukriya...
Pal pal Teri nazron me mein rehta
Par fursat ke pal se dur mein bikhra
Toota sa ek tara...
Zameen e jwalamukhi se ja takra

Ab samundar ke paas bhi
Aur nadiyon se dur bhi
Gehriyon ko dekhta

Udta panchi  mujhe niharta
Kehta chalta ja ruk mat...
Mat soch itna ki tabyat Teri bigar jaye
Teri manzil e aashiqui...
Tu doob ja ishq ki nadiyon me...
Bhul ja khud ko...
Bhul ja khud ko...
....
Abhi abhi Mila tha tujhse
Phir kyu dur chala gaya tujhse
Nadiyon ki muskurahat
Phirne laga mann yeh mera
Teri woh adayein...
Bekaabu e ishq


Phir kyu
Phir kyu
Phir kyu
mein dur jata khud se
Jaise rooh meri ghul gayi
Pichhle saat samundar se
Yaad me tanhai me
Oski nazar me
Kaed hu
Abhi bhi
...


..

Shilsila anokha
Manzil nashe se chur
Aur Safar mein
Hamsafar ki parwaah
Mein beparwaah hokar dhoondta
....






..
Sach me
Ya
Phir
Sabhi ek sapna hai
Jo
Dil ke paas bhi
Aur
Dil se dur bhi
Ek paheli
..
Jindagi e nasha e jung
Mein khud se itna khafa
Ki junglee hua dil
Mein pagal gali gali bhatakta
Ek musafir e samundar
Bheeg gaya nadiyon ke jaal me
Jal jal me dhoop e nasha
Mein piyo sharaab har dafa
Mat roko, mujhe thoda aur jeene do
Haan dard e nasha peene do
Haan thoda peene do

.
..



...

.
Tum tak
Tum tak
Mein dhoondo tumhe
Muskurahat me dekho tujhe
Jaise ki aasman me ishq ki baarish
Tum aur mein
Dono bheeg chuke hai...
Chalo ab laut chale...
Ishq ke gaon me
...
Mein ruka hu
Nadiyon ke par
Chal rahi ** na ?
Kya kaha
Phir se kaho na ?

...
..
.
Mein khoya
Chand bhi khuch Kam dikhne Laga
Phir ek mehfil e khwaab liye
Najane sote sote kitne Baar jaga
Ghor andhera
Aur mein bas sapne dekhta raha
Pagal si nadiyon ke Chaaro taraf ghumta Raha ghumta Raha
ek Kahaani me
jo khud ne hi jaise banayi ** jaise!!!
Phir se boond
Phirne lagi
Tanhai ke agal bagal
Judaai...bin mile
..waqt e bandagi...
Jhalne lagi...nadiyon  ki muskurahat
Rukne se bhi na ruke....
Na jane kyu nadiyaan jali?...
Phir se ek raah e dhoondta
Pagal pagal galiyon me ghumta
Shaam e tanhai aur  mehfil e aarzoo
Maikhane me dhoobta...
Ek khyaalon me aur sapno ki nadiyon me
.


...
Ishq e daru...
Daru e daru
Kya yehi marzi hai!!!
Deewangi ki

...
...
.
Mein tujhe yaad karta
Tu mujhe yaad Karti
Phir hum itne itne dur...
Jaise ki Sagar ki gehraiyaan

.

Bewaqt khubsurat waqt Ko koste
ghumsum dono
Nadiyon Ko niharte hue
Pagal deewanapan me
Keval sapno ki neend me
Milte milte sapno me keval
...
.
Ghumsum si yaadon ki haweli
Nazar hi nazar ek kahani
Nadiyon se sadiyon purani
Raaz e raaz ...


Phir nayi disha
Rooh e dar
Phir....
ash Jun 11
sarphiri si baatein ye teri
muqammal kar bhi lu
makbul karna mushkil

har martaba jo ye tu aajata hai
zehen mein maano zeher sa mehsoos hota hai
dil par marham jo bhi lagaya
kab zakhmon ko cheer ke nikal gaye, pata bhi na chala

par usko dekha, phir se —
waqt ke intehaan ke baad hi sahi
wahi aankhen, wahi muskurahat
wahi pagalpan —
maano saare gham dil rehte, pighal gaye

jab aankhen hi bol dein
toh labon ki khamoshi bhi kya?
naseehat jo ye duniya de, aahista hi sahi
samajh aati hai — duniya ke pare
jo teri meri duniya baithi hai

maano intzaar kar rahi ** —
uski yaad satati hai
par intzaar bhi ye kaisa,
uska — jise kabhi aana hi na tha

zaleel toh apno ne hi kiya
iss qadar ghaav jo hai ye mere
kya sapna, aur kya baddua

nazdeekiyan — har ek cheez
jo maano hawa ki tarah
nadiyon mein behte hue
mujhe tere kareeb le aaye

sab seh lenge — dard ** ya dilkash
aarzoo se likh rahi hoon
afsana ye tera mera

kaafir ban ke reh gaye
khud apne hi shauq-e-ishq karte karte guzar gaye
sochti thi — gair hai ye sab
ummedon aur khwabon ke pare

par giri aisi, ki sambhal na payi

hamari kahani likhi hui thi
aur duniya — uske log
iss janam mein bhale hi door kar dein
ye dooriyan nahi samjhi
junoon ko mere

zindagi aur maut —
aur uske baad ke safar mein
uns rahegi meri, kasakti hi sahi
teri ruksat bechain bhale hi chhod jaye

fanaa ** jaana —
la-ila, ab bepanah pyaar jo ye mera

hota hi kya hai qissa iss zamaane ka?
kahenge log — jo unhe kehna hai

raahguzar tera mera —
sarphiri si main
khamoshi mein rehkar
tujhe bayaan jo na kar sake

socha tha — padh chuka hoga
jo hum shabdon mein piroh na sake

ye vaada — ek laila ka apne majnu se:

tujhe kho bhi dun, darr nahi kisi baat ka
rahega zehen mein mere — paa hi lungi
iss janam nahi, toh agli dafa
ouch, laila-majnu
first time watching something like it
not the best, sure- the plot, unpredictable this once cause i had some other thoughts except poetic symbolism. peaked.

— The End —