Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Vineeta rai Dec 2018
Kethte hai log pyar aur jung me sab jayas hai...
To kyu do dilo ko milne par itni jhanjhat hai...
Kehte hai log pyar aur jung me sb jayas hai...
To kyu majhab ke naam par pyar ko alag krne ki Ibadat hai....
Kehte hai log pyar aur jung me sb jayas hai...
To kyu do **** ek jaan hone par sabko sikayat hai...
Kehte hai log pyar aur jung me sb jayas hai...
To kyu pyar krne walo ko milne par itni siyasat hai...
Kehte hai log pyar aur jung me sab jayas hai...
To kyu do dilo ko dur karne ki sabko ijjazat hai...
Kehte hai log pyar jung me sab jayas hai...
To kyu pyar krne walo ko saadi ki itni tension hai...
Kehte hai log pyar aur jung me sab jayas hai...
To kyu jamane me pyar krna galat hai...
Kehte hai log pyar aur jung me sab jayas hai..
To kyu pyar karne wale itne badnaam hai...
Kehte hai log pyar aur jung me sb jayas hai...
To kyu do dilo ko alag kiy jate hai...
Kyu pyar karne wale sath jeene ke bajae marne ko chunte hai...
Log kehte hai pyar aur jung me sab jayas hai...
To pyar ko majhab ke naam par, jaat ke naam par, alag karna kahan ki insaniyat hai...
Log kehte hai pyar aur jung me sab jayas hai...
Sahab pyar karne walo ko alag karna jayas nahi...unhe milana milne dena jayas hai...
Ajj se mat kahiy ki pyar aur jung me sb jayas hai...sb Jayas hai
I felt it... Its my observation...pyar ko kv juda nahi krna cahiy kv ni
Nidhi Jaiswal Feb 2021
Samaj ke bandisho se azad
Bin pankho se urna chahti hu
Pankh tute hai to kya
Khawo se aashaman sajana chahti hu

Hoshlo ki urran hu main
kisi ki muskan hu main
bharat ki anokhi shan hu main
band pare khawbo ki arman hu main

manti hu zindgi ke safar me
Me mil jate hai kuch humsafar
naa hote hue apne
Phir ban jate band aankho ke sapne

Haa main uarna chahti hu
Oos ke bund ki tarah dhara ko susobhit karna chahti hu
khilkhilana chahti hu
Hasna chahti hu
Apne pankho ko failye dhara ko napna chahti hu
apni khusboo se sbko mekhkana chahti hu
apne gunjan se nabh ko gunjit karna chahti hu
kali se ful ki tarah khilna chahti hu

kya thi galti meri
kis bat ki milli mujhe  ye saja
ye Samaj ki bandishe
Pairo m jakri ye janjiro se niklna hahti hu
kuch kehna chahti hai
Khud ko khud se milana chahti hu
kyuki jaise main dikhti hu waise hu nai
Mere hai kuch azad sapne
Pinjre m band panchi nahi hu
aazad bharat ki ek shakti ka rup hu
Ek larki hu mai
Haan ek larki
jo khud apna itishah bnana chati hai
Auro se alag khud ki duniya basana chahti hai
kUch karna chati hai
Apne liye
apno ke liye
Iss jahan ke liye.
Myself...😇
Aatanki ko,
Alagaavvadi ko
Koi
chetahavni dena
Bahut badi bhul he.


Mauka mile to Mita do uska mool,
Chata do Usko dhul ,
taki jhelna  na paden, aur adhik shul.

Aatanki ek
Gumrah shakhs hota hai , jab vah alag thalag pad jata hai ,
To samaj Ko khandit karna chahta hai.


Vah Apne bhitar ke
Tanashah ko Jinda rakhna chahta hai .
Satta pratishthanon ko
Jhukana chahta hai.
Desh samaj ki
Asmita ko
Dhul mein Milana chahta hai.


Aatanki
Kabhi deshbhakt nahin hota.
Beshak vah hardam ek nakab audhe rakhta hai.
Kabhi kabhi vah
Desh bhakti ka
Chadam aavaran audhe ,
Desh duniya Ko kamjor karna chahta hai.



Tum uske iradon ko samjho.
Apney ko halaton ke mutabik dhalo.
Khush fahmi mein rahakar
Khud Ko musibat mein na dalo.

— The End —