Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aabid Rumi May 2017
Tere bin yeah zindagi mazaak see lagti hai
Har  dhuvay mai lipti apni he aag lagti hai

Tunay thama tha hath mera toh hum chalna jaan gaye
feesal rahia hai kadam kyun ki thokarey apni he lagti hai
Nigahain num naa huvi  toh gilla rehta he hai
Har katrai-e-ansu phir bhi ek shikayat see lagti hai
Yeah kis mode pay hum akay rukay,na manzil hai aur naa rasta
Faryaad kissay ab karey ki har shey ajnabi see lagti hai.
ghum-e-samandar k kinarey pay  tanhaa betha hai yeh dil
Pass aye toh aye kon ki dardkaney bhi ab sazaa see lagti hai
Bichard kay tumsay hum khoye kahaan naa maloom hai
Jistiju mai har bikhra nishaan apni he pehchaan lagti hai
Yeah kaisi inayat hai ki tummay mang kar yun ruswaye milli
kyun har dua ab yun khairaat see lagti hai
Yeah ishq kyun aisa hai ,naa tera hai aur naa mera
kab aye aur kab gaye ki choti see mulakat lagti hai
Ab aur nibaya nhi jata RUMI,yeah **** bina rooh  kay
Mere waja say yeah duniya kyunki pereshaan see lagti hai

...Aabid Rumii
Tanzeelah Illahi
Sk Abdul Aziz Dec 2015
Woh bhi kya din thay
Kya thi woh raatay
Hoti thi kitni baatay
Hoti thi kitni mulaqaatay
Na kisi cheez ki parwa thi
Na tha koi darr
Rangeen hoti thi shaamay
Raatoy ko sota tha tumharay kandhay pay rakhkar sar
Ab na woh waqt raha
Na raha ** mahol
Ab kissay guftagu karoon
Ay meri tanhai..tu hi bol
(Urdu and Hindi)

English translation

What days those were
What nights were those
There used to be so many conversations
There used to be so many meetings
We didn't care about nothing
Neither was there any fear
The evenings used to be colourful
In the nights i used to sleep resting my head on your shoulders
Today that time doesn't exist
Neither does that atmosphere
Now with whom do i have a conversation
Oh my loneliness...you only tell

— The End —