Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Oct 2015
Meri zindagi aaj udas hai,
Ye Khushi ke pal bhi mujhse nirash hai,
Tut jate hain wo har sapne,
Jab tutata kisi ka vishwas hai,
Jab tutata kisi ka vishwas hai....

wo khile Phul aaj murjha gye hain tujhe yaad kar,
Kyon ojhal ** gye ** tum in aankhon me aansoo bhar,
Sisak-sisak ke puchh raha hai ye dil mera,
Kyon juda ** gye wo meri hansi bankar,
Meri hansi bankar...

Us andheri raat ko bhi teri raushani ka intejar hai,
Tujhe dekhne ke liye mera dil bhi beqarar hai,
Na chhup jana un ghane badalon me,
Ye sochkar ki meri muskurahat kisi ke liye khash hai,
Kisi ke liye khash hai...

Ban jaoo teri aansoo
teri aankhon me hi mera wash **,
Khushi ** ya ** gam,
Har waqt har pal tujhe mera saath **,
Es pal ko bhi us pal ki lagi aas hai,
Meri zindagi aaj udas hai,
meri zindagi aaj udas hai..
Bhag raha tha bahut tez k Zindagi ki dhod me peeche na choot jaoo..
Ruk k pairo ko sahlane ki fursat si mil gayi hai

Dar gaya tha is zindagi / duniya se bahut..
Un ehsaso ko darane ki fursat si mil gayi hai

Maa meri murjha rahi hai din pe din..
Unhe pyaar krne ki fursat si mil gayi hai


Yaadein jo mere jahan me bhikhar si gayi thi..
Unhe sanjone ki fursat si mil gayi hai

Pyaar karta tha..hoon jinhe main bahut..
Ruk k jatane ki fursat si mil gayi hai

Khane ka bahut shauk hai mujhe..
Lazeez pakwano ko sarahne ki fursat si mil gayi hai

Meri need pe bin sir pair ki fikaro k taale pade huae the..
Befikra ** k sone ki fursat si mil gayi hai😊

— The End —