Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Kadam yaadon ke ghere mein
Mera jab bhi kabhi padta
Woh aalam yaad aata tha
Woh aangan yaad aata tha

Woh dopahar mein gulmohar
Pe chadna yaad aata tha
Gulaabon, phal wa phoolon ka
Mehekna yaad aata tha...

Subah koyal ki ku ku ka
Woh shor o gul tha yaad aata
Agasi par tanhayi ka
Woh kona yaad aata tha

Har ek pal ki kahani thi
Woh dastaanon ka har lamha
Us chaukhat ka har ek paththar
Har zarra yaad aata tha

Falak par hi to hota hai
Tasawwur e irum aksar
Sama ki sar Zameen par tha
Jo "Firdaus" yaad aata tha

Padosi ka sulook e khair
Woh rishta yaad aata tha
Padosi ka hi phir hum par
Nishaana yaad aata tha

Woh kaalapan woh sannata
Woh buu e Raakh ka uthna
Mere armanon ke ghar ka
Jalana yaad aata tha

'Ain' ashq ab behta hai to kya
Mita to yeh nahi sakta
Khalish e qalb ka woh pal
Jo aksar yaad aata tha....
Juwayriya Sep 2021
Khwaab dekho.
Khuli aankhon se ya band, fark nahin.

Khwaab humein kahan se kahan leja chhodti hai.
Jo kabhi dekha nahin woh dikha deti hai.
Jis cheez ko kabhi chhua na **, use bhi mehsoos karwa deti hai.

Kabhi paseene mein bheega jagaati hai,
toh kabhi apni ulfat se gaalon ko laal kar deti hai.

Cheekh kar uthaa hai koi toh koi muskuraate.

Koi toh khatam hone ka naam nahin leta.
Kisi ke beech mein kat jaane ka gila hai rehta.

Mujhe toh hamesha khatam hone ka intezaar hi raha ------ uske aane tak.
Bura dekha, bura jaana, bure ne ghere rakha ab tak.

Mein ne seene par sar rakha,
phir usne mere haath par apna bada magar narm haath rakha.

Usko meri nazuk lambi ungliyon se khelna achha laga.
Mujhe mohabbat jatane ka yeh tareeqa uska achha laga.

Aankh khuli.

Pehli dafa kaanp kar nahin sharmakar jagi.
Sukoon toh tha.
Par gila bhi raha.
Phir socha,
khwaab itne bhi bure nahin.

Toh khwaab dekho.
Kuch rehne do.
Kuch poore karo.

— The End —