Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Bs ek tamanna hai agar janam mile fir se,
Meri sacchi mohabat mujhe har janam mein mile.

Zindagi ka har pal khubsurat hai jab aap saath **,
ye dil shiddat se chahta hai sirf aapko.

Aap dharti kya jahan bhi honge,
Aapki khusbu se hum aapko pehchaan lenge.

Aankh band kar dadhkano se pehchaan lenge,
Din maheene saal guzarte jayenge.

Pyar mein aapke har pal har lamha badhte jayenge,
Jab jab janam lenge hum sirf aur sirf aapke rahenge.

Ye dil sirf us dadhkan ki hai pehchaan,
Aapki rooh mein basti hai hamari jaan.

Har dua mein us rabb se hum aapko maangte,
Is dil mein sirf aap hi ** rehte.

Dil bhi bekaraar hain aapse milne ko,
Khushnaseeb hain hum jo aap humein mile **.

Saare jahan ki hasi aapke labe par saja de khuda,
Aapse  kabhi nahi hongey hum juda.

Har saans par hamari hai aapka naam,
Aapke bin zindagi hai gumnaam.

Chand ki chandani madhamm padh sakti,
Phulon ki khusbu feeki ** jaati.

Hamari sacchi mohabbat ki khusbu is qadar faile,
Ki dharti ke yug bhi kam padh jaaye.

Karte hain kkhuda se hum gujarish,
Aapki mohabbat ke siwa koi bandagi ki na ** baarish.

Chahe hazaaron dafa waqt le le hamare imtehaan,
Nahi chhodenge hum aapka saath meri jaan.

Kuch ehsaason ke saaye dil ko chhu jaate,
Zindagi mein phul khil jaate jha aap kadam rakhte.

Gulaab tou kaaton mein bhi khila hain karte,
Kabhi kabhi apne bhi paraya kar dete.

Shukriya hai aapka jab hazaaron log khilaaf hote hum khuda kehte,
Tab sirf aap hi ** jo hamara haath thame hamare saath khade rehte.

Khubsurat hai har subah aur har shaam,
Achaa lagta hai hamara naam jab judta aapka naam.

Aap saath hain tabhi khush hai saara chaman,
Aapse mohabbat karne ko le le hum hazaro janam.

Aap jaise dost milte hain taqdeer walon ko,
Mile yhi taqdeer aur is dil mein sirf aap rho.

Aapki rag rag se waakiff hain hum,
Saath hain humesha mere humdum.

Bs ek tamanna hai is dil mein,
Har janam mein aap hi hamare mahadev bane
Baarish ki har wo boond jab maathe ko chumti,
Hamare ehsaason aur jazbaaton ki kahani gunjti.

Hamari jodi bhi hai bemisaal,
Jaise radha krishna ki di jaati misaal.

Saadgi hai is khubsurat rishtey mein,
Pavitra hai Ganga jal se.

Ek pal ki doori bhi sahi nahi jaati,
Dil ki dadhkane bs ek hi raag alaapti.

Ek dil ke do hain tukde,
Ek hamare paas aur ek unke.

Milkar poora kiya ek duje ko,
Beshumaar khushiyan ishwar de aapko.

Bhale hain hum meelon door,
Aapki wajah se hi hai is zindagi mein noor.

Behti hawa pahucha deti hai us dil tak dastak,
Jhukate hain hum parmatma ke saamne mastak.

Jo bheji thi dua wo aasmaan mein hui poori,
Nahi hai ab zindagi ye adhuri.

Milan karaya hai jab us shrishti rachne wale ne,
Aage ki kahani bhi hai uske hawale.

Aye mere humsafar mera bhagwaan basta hai tujhme,
Jagah hai khaas tumhari is dil mein.
Ankit Dubey May 2019
Jab bhi khush hota hu ye sochkar k kuch aur paas aye ** tum mere,
Kismat har baar tumhe aur door le jati hai....

Har baat yaad karne lag jaata hu jab bhi mai,
Teri majboriya mujhe kuch aur yad karne ko majboor karti hai.....

Tere pyar me tujhe sochkar hi tere aks ko choone ki jab jab koshish karta hu,
Har bar kismat mujhe khud k koi aur hone ka ehsas karati hai.....

Har jarre me jab teri tasveer najar aati hai,
Tab bhi na jaane ku aankhon se ojhal hone lagti **......

Bhoolkar bhi agar koshish karoo k ye ehsaas hi bahut hai k tum meri **,
Naa jaane ku tu un ehsaason me bhi kuch aisa kar jati hai,
k yaad rakhta hu tumko aur tu kuch aur door chali jaati hai.......

** gya hu adat se majbur fir bhi tumhe pyaar karta hu,
aur ye dillagi hai k har baar tumhe aur pyar krne ko majboor kar jati hai......
Ankit Dubey May 2019
mere kareeb aao,
ab na mujhe satao,
mere kareeb aao,
ab na mujhe rulao,
kaise bataun tumse,
dil me tum rahte **,
mere ** mere tum,
dooriyan na badhao,
mere kareeb aao,
mujhse lipat tum jao.......
kaise bataun tumse,
k tum kitne ** pyare mujhko,
meri wafao me bas tum hi bas jao,
yaadon me rahte ** tum,
saanso me rahte ** tum,
ab yun na muh modo,
mere hamsafar ban jao,
aao kareeb aao,
mere kareeb aao......
mere is soone dil ki,
ek hi tamanna tum **,
ankahe anchue ehsaason me,
ek hi to saona ** tum,
aarjoo hi tum ** meri,
meri jindgani ** tum,
na yun mujhe tadpao,
aaao kareeb aao,
mere kareeb aao.....
bebas hua dil mera,
gair jo hua koi tera,
teri jindagi ko mai mera banaun kaise,
meri mohabbat ko mai tujhpe lutaun kaise,
na kuj kar saka mai,
tu jo juda ** gaya hai,
ab to samajh tm jao,
k meri bandagi hai tujhse,
chahta mai paun kaise,
mai aona banaun kaise,
khud hi samajh tum jao,
aao kareeb aao,
mere kareeb aao,
meri hi bank hardam,
mujhse lipat tum jao.....
Har koi chahta hai us aasmaan ke chand ko,

Ehsaason se mehsoos karu mai roz apne chand ko.



Poori kudrat samet ke jaise koi meri jholi mein daal gaya,

Wo mile mujhe, mera khuda mujhe mil gaya.



Samundra ka paani bhi meetha lagne lage,

Suche moti se bhi pavitra unki rooh lage.



Kayenaat ki khubsurati bhi feeki padh jaye,

Jab unhe mera chand nazar aa jaye.



Unhe kisi ki nazar na lage,

Mujhe wo meri saanson se bhi pyaare lage.



Wo humesha mehfooz rahein,

Har kadam par hum unke saath rahein.



Unki saanso se chal rahin hain dadhkane meri,

Prem kahani nahi janam janam ki kahani hai unki aur meri.

— The End —