Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
Aapka saath humein har janam mein mile,
Dua hai hamari aapke jivan mein phul khile.

Sabse khushnaseeb hai hum mere humsafar,
Jo aapka saath hai hamare saath har dagar.

Meri rooh ka rishta hai gehra us rooh se,
Chehra basa hai sirf aapka dil ki tasveer mein.

Sagar ki gehrayi bhi kam hai is mohabbat ke saamne,
Beinteha mohabbat hai tumse kehti hai dadhkane.

Ruke na zindagi me hamare pyaar ki hawa,
Hum tumhare hain tum hamare oo humnawa.

Sukoon milta hai sun khud ka naam aapke saath,
Jaise koi subah judi ** shaam ke saath.

Meri haathon ki lakeere, mehandi sirf aap **,
Har pal aapka hi rehta hai khayal humko.

Qubool ** gayi har dua tumhari,
Jab se mili hain saanse hamari.

Dil ki gehrayi se chand ki roshni se,
Kehna chahte hain hum kuch aapse.

Phulo ke kagaz par likhte hain kuch labz,
Beinteha mohabbat hai har lamha har nabz.

Jaati nahi aankhon se surat aapki,
Aapki zindagi mein rang bharne ki kasam khayi.

Mil gaye humein hamare bholenaath,
Jab se mila is khaas dost ka saath .

Aapko dekhte hi ** jaata hai dil bekaraar,
Aapko mile khushiyan beshumaar.

Jab saath hai aapka dil mein dadhkan ki jagah,
Fir zindagi ko saanso ki jaroorat kahan.

Rabb se yhi ibadat mein karte hain fariyaad,
Ye jodi yu hi banaye rakhna kr tumhe yaad.

Kabhi ruth na jaana humse piya,
Saath rehne ka vaada hai kiya .

Jabse mehsoos kiya is dil ne aapko,
Milne gayi zameen par jannat humko.

Pyaar saccha ** tou waqt bhi Ruk hai jaata,
Is pavitra rishtey ke liye aasman bhi jukh jaata.

Aapse shuru hote hain hum aapke saath hi khatam,
Saath rahenge aapke har janam mere sanam.
Ankit Dubey May 2019
Door kahin hokar khada jab dekhta huu mai duniya ko,
Kabhi khud ko dekhta hu kisi aur me,
To kabhi kisi aur me khud ko bhi dekh leta hu,
Kai rote hue chehre dikhte hai,
To kai tadapte hue dil bhi dekh leta hu,
Koi dikhta hai talabgaar khushiyon ka,
To kai baaar koi khushnuma manjar bhi dekh leta hu....
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Koi mehnat k baajar me pani pani hote dikhta hai,
To koi makhmali bistar pe aaram talab jindagi jeeta hai,
Koi chor hai makkar hai to koi in sabka gunah gaar hai,
To kai baar jindagi me imaandaar se bhi milta hu......
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Ghumte ghumte kai bar jab koi ghar dekh leta hu,
Chor bankar kabhi jab ghar k andar jhank leta hu,
Koi deewar tooti hui dikhti hai ,
To koi aalishan mahal bhi dekh leta hu,
Koi ghar hota hai jisme dikhte hai bhookhe nange,
To ghar kabhi har sukh suvidha ka praman bankar dekhta hu........
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Kai baar koi maan bache ko pyar karte dikhti hai,
To kabhi pet bharne k liye khud ko bhookha rakhne vali bhi dekh leta hu,
Koi mahal mai dekhta hu sone se madha,
To kai baar kisi ghar k bachon ko bhookh se bilakhta hua bhi dekh leta hu,
Dekhkar ye bahurang duniya k mai khud ko aur majboot bana leta hu,
Na gareeb khud ko aur na kabhi ameer bata pata hu,
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko..
Ain Sep 2020
“Hum to hain bas parinde aasmaanon mein basar apna...
Kuch hi din ka theherna phir shuru hota Safar apna...
Ruke hain hum to bas jholi ko kuch neki se bharne ko...
Bulandi par hai jaana khoob ke us par hai ghar apna...”
Akta Agarwal Jun 2021
Ek sapna tha dekha
Hoga koe ghr mera v apna
Jo bsh hoga mera
Mere haaton s sicha hua
Koe na hoga kehene wala
Ki
tu praae ghr ki jaae h
Tu praae ghr s aae h
Fir na hoga sawal
Ki rabba tune kon s ghr k liye mujhe bnaae h
Pr zindagi k kitab k enn panno ko puri krte krte
Ush kitab k kuch pnne khali hi rh gye
Mere zindagi ki kuch khani adhuri hi rh ***
Wo panno ko bharne ki kosishe to thi
Pr hr kosish kamyaabi k sikhr tk nhi le jaati
Zindagi k kuch kisse adhure hi rh jaate h
Tik wese hi jese ki
Meri adhuri si kuch kahani rhi
DrAbhijit G Aug 2023
Nishesh charcha ke patal pe 
Nishabd shabdo ki Tarah..
EK jaan phukti Atma ki Tarah
Is mritak sharir me..
Bhavnahin Manch  pe
Rang Bharne wale
Nrutak ki Tarah..
Tum aoge na..

Nirasha ki samubdar me ..
Usi kisi gaharayio me ..
Asmanjas ke badal ko chirke
Kisi kad -kadati bijli ki Tarah..
Sukhe Banjar Kaya pe
Kisi bundo ki Tarah..
gaharayio me chupaye raj kholne
band kisi Sunduko me..
Tum aoge na...!
Hame Intajar rahega!!
The wait for 'Truth' ,wait for 'Hope 'and wait for 'Life'after 'Death'

— The End —