Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Apr 2018
Chahe aaye aandhi ya fir koi tufaan ,
Kamzor nahi padegi hamari udaan .
Chhaon ** ya kadakti dhoop ,
Nikhrega hamara naya roop .

Lakh mushibat aaye nahi rukenge hum,
Badhte jayenge yuhi hum kadam dar kadam,
Rastey chahe kitni bhi mushkil kyon na **,
Har mushkilo ko chirte hue ek din manzil tk pahuch jayenge hum

Bheedh hamesha us raastey par hai chalti ,
Jahan ** na koi mushkil khadi .
Par humne chuna hai raasta alag ,
Kyunki karna hai humne kuch alag .

Itihaas rachna hai tou bhid se alag hona sikho,
Paristithio se daro nhi paristithio ko badalna shikho,
Ek din wo mukaam tumhe mil hi jayega,
Dekh tumhari safalta ko ek din kismat bhi muskurayega,

Mehnat ke bal par likhenge khud ki takdeer,
Takleef ke hain hum mahaveer.
Na chahat hai sitaron ki ,
Na tamanna hai nazaron ki.

Sirf wahi log itihaas rach ke dikhaya hai,
Jisne apne taklifon ko gale lagaya hai,
whi log asafal rah jate hai,
Jo mushkilo se darr tut jate hai,

Har mushkil ka saamna kar ,
Pahuchna hai apni manzil ke shikhar par .
Khamoshiyan sabra ka imtehaan ban gayi ,
Apne man mein Umeed ki jyot jag gayi .

Hum wo hai jo Kismat par rote nahi
Jo rote hai unke kuchh hote nahi,
Mandabuddhi wala einstein tou paper wala kalaam kahlaya,
Apne kaarnamo se hai vishwa me ek alag pahchaan banaya,

Laakhon kasht aa jaye saamne ,
Hamara ishwar bada hai us har takleef ke aage .
Musibaton se baghna na humne kabhi seekha ,
Hamari nanhi akhiyon ne bahut kuch hai dekha.

Milkar humne ye thana hai,
Naam nahi hume etihaas banana hai,
Ab kisi bhi mushkil se na darna hai,
Kyuki Hume kuchh alag karna hai,
Kuchh alag karna hai..


Collab Poem by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK.....…....✍
LLZ Apr 2020
Char pahar ki baate ab,
Ek pahar mein dhal sa gaya!
Ek pahar bhi na Jane kab,
Ek ghante mein badal sa gaya!
Dekhte hi dekhte ek ghanta bhi,
Ek mintue ban sa gaya!
Waqt ke sath tum bhi ,
Badal se gaye!

Chalo,thik hai
Badalna hi tha toh thodi der se ,
Badal jate,
Vo Kya hai na,
Waqt mil jata hume,
Hum bhi Toda sambhal se jate!
BeeVaishnavi Jan 2022
Woh aadat hi kya joh badalna na jaane,
Woh sir hi kya joh jukna na jaane,
Woh zindagi hi kya jo galati sudarna na jaane,
Woh insaan hi kya,
Jo doosron ki pragati se kush ** na,
naa jaane.
I don't say to not be with the people who are unhappy of others sucess, what I say is just don't be one of them

— The End —