Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur
Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala
Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein
Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske
Usi metro ki tarah par dheere zara
Thandi hawayei hain.
Usme goonjta mera aaj khada
Kuch thandak hai inn hawaon mein
Aur bohot sara sukoon bhara

Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak?
Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya
Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin?
Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya
Kya raambaan sukh yahi toh nahi
Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi
Kya Ramcharitmanas mein hanumat
Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi?

Aisa hi amritmay bachpan mein,
yaad hai mujhko lagta tha
Zameen se shuru uss lambi khidki
Se yahi chaand chamakta dikhta tha
Mama sa ban chup shant bhav se
Kuch baatein meri sunta tha

Kyunki khud bhumi par bistar pe so
Holi mujhe khilayi thi
Khud bhookhe reh uss ke paiso
Se mere bhai ko idli chakhayi thi
Bohot pasand thi usko uski idli
Aur rangbhari mujhe holi meri

Kya kabhi unhen main unka wapas
Ye rinn chukta kar paungi
Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar
Unke liye itna kar paungi?
Kya usi chaand ki thandak si khushiyan
Unki jholi mein bhar paungi?

Kya bhool maaf karne ki hadd
Ko paar kar kar ke thake nahi wo?
Kya raat bhar bhi jagkar subah
Hans dawa banna bhoole nahi wo
Kya insaani roop mein hain
Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
Mein teri yaad me khoya
Soye hua jaaga tujhe na dekha
toh phir se so gaya...
Yaadon ke mele me...
Itni nazdikiyaan phir bhi dooriyaan
Nazar e Nazar me ghul gaya sharaab e gulaab ...
Aur kab waqt beet gaya...
Nasamajh Ko samajh na aaya...
Phir yaad karta Dil e nadaan ose
Aur phirta rehta yaadon ke mele me
Khuch neend liye jaida...
keval osse milne ke liye...
Dhoondta rehta aawargi e baadal
Megh ki Boond me osko dekhta e Nazar...
Boond boond khoya mein
Pagal deewana hua mein
Jharne ki tarah...behta mein
Osme me khuch ish tarah ghulta mein
Aur phir shaant samundar ke paas baitha mein...
Tujhe bas dekhta mein mann ki aankhon se...

— The End —