Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
 
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Ki haar gaya tan tan man  puakar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe
Ki jis pal haldi lepi hogi tan par maa
Jis pal sakhio ne saupi hongi saugaate
Dholak ki thappo me , ghunghroo ki runjhoon me
Ghulkar faili hongi ghar me pyari baate
Uss pal meethi si dhun , sune kamre me sun
Roye man chausar par haar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe .....
Haar gya tan man ..........re haar gya re..

Kal tak jo humko , tumko milwa deti thi
Un sakhio ke pprashno ne toka to hoga
Saajan ki anjuri par  anjuri kaapi hogi
Meri sudhio ne rasta roka to hoga
Uss pal socha man me aage ab jeevan main
Jee lenge hans kar bisaar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe ...
Haar gaya tan man ....re haar gya re

Kal tak jin geeto ko tum apana kahti thi
Akhbaaro me padhkar kaisa lagta hoga
Saawan ki raato me saajan ki bahoon main
Tan to sota hoga par man jagta hoga
Uss pal ke jeene me aanshu *** lene me
Marte hai man hi man maar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe
Haar gaya tan-man ...re haar gaya re..
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Ki tum amar raag mala bano to sahi
Ek pawan shiwala bano to sahi 2
Log padh lenge tumse sabak pyar ka
Preet ki paathshala bano to sahi *2

Ki laakh ankush sahe iss mrodul kaat par
Bandishy kab nibhi mere jajbaat par
Aapne par mujhe bewafa jab kaha  
2
Aankh nam ** gye aapki baat par 2

Ki taal ko taal ki jhankriti to mile
Roop ko bhav ki anukriti to mile
Mai v sapno me aane lagu aapke  
2
Par mujhe aapki swikriti to mile *2
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Daulat na adaa karna maula
soharat na adaa karna maula
bus itna adaa karna maulaaa.....

Shammay watan ki lauu par jab
kurbaan patanga  hoyeee
hotho par ganaga **
haatho me tiranga **

Bus ek sada hi sune sada
barfili mast hawao me
bus ek dua hi uthe sada
jalte tapte sehrao me

Jeete jee iska maan rakhe
markar maryada dhayan rahe
hum rahe kabhi naa rahe magar
iski saj-dhaj aabad rahe

Goodhara naa ** Gujrat na **
inshaan na nanga hoye....
hotho par ganga **..
haatho me tiranga **...


.....Dedicated to Indian Army.....
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Jiski dhun par dunia naache dil aisa ek tara hai
jo humko v pyara hai aur jo tumko v pyara hai
jhoom rahi hai saari dunia jabki humare geeto par
tab kahti ** pyar hua hai kya ehshaan tumhara hai

jo dharti se ambar jode uska naam mohabbat hai
jo sheeshe se patthar tode uska naam mohabbat hai
katra katra saagar tak ** jaati hai har umr magar
bahta dariya wapas mode uska naam mohabbat hai

to be continued......
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala
usse jo heer samjha to mujhe ranjha bana dala
mili mujhko na wo iss baat se shikwa nahi fir v
usse pakar v naa paya ajab kissa bana dala !

akela jab v chalta hu tujhe hi saath pata hu
jami se aashma tak mai tera ehshas pata hu
khudaye ishq ne mujhpe v kya aisa sitam dhaya
mai girna v jo chuahu to sada upar hi jata hu !

tujhe mai pyar se dekhhu ya nafrat ka hawala du
jo jeevan me bhara ** tam to fir kaisa ujala du
mujhe to ishq ne barbaad kar tara bana dala
chamakta hu falak par mai jaami ko kya ujala du !

jaami se ashma ka ** safar tu saath chalta hsi
bina tere mujhe jeevan v ab abhishaap lagta hai
mujhe gum naa judai ka khuda meri yahi sun le
naa tu mujhko samajhti hai naa wo mujhko samajhta hai !!!!
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Asia ke hum parinde, Aasma hai had hmari,
Jante hai chand suraj, Jid hmari zad hmari,

Hum whi jisne samander ki, lehar par baandh sadha,
Hum whi jinke ke liye din, rat ki upji na badha,

Hum ki jo dharti ko mata, maan kar samman dete,
Hum ki wo jo chalne se pehle, manjile pehchan lete,

Hum whi jo sunya main bhi, sunya rachte hain nirantar,
Hum whi jo roshni rakhte, hai sabki chaukhto par,
Un ujalo ka wahi, paigam le aye hai hum,

Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.

Zinda rehne ka asal andaz, Sikhlaye hai humne,
Zindgi hai zindgi ke, Baad samjhaya hai humne,

Humne batlaya ki, Kudrat ka asal andaz kya hai,
Rang kya hai roop kya hai, Mehak kya hai swad kya hai,

Humne duniya mohbat, Ka asar zinda kiya hai,
Hmne nafart ko gale mil, Mil ke sharminda kiya hai,

In tarrki ke khudao, Ne to ghar ko dar bnaya,
In pde khali makano, Ko hmi ne ghar bnaya,

Hum na aate to taraki, Is kadar na bol pati,
Hum na aate to ye duniya, Khidkiya na khol pati,
Hai yasoda ke yha par, devki jaye hai hum,

Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Next page