Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mar 2015
Asia ke hum parinde, Aasma hai had hmari,
Jante hai chand suraj, Jid hmari zad hmari,

Hum whi jisne samander ki, lehar par baandh sadha,
Hum whi jinke ke liye din, rat ki upji na badha,

Hum ki jo dharti ko mata, maan kar samman dete,
Hum ki wo jo chalne se pehle, manjile pehchan lete,

Hum whi jo sunya main bhi, sunya rachte hain nirantar,
Hum whi jo roshni rakhte, hai sabki chaukhto par,
Un ujalo ka wahi, paigam le aye hai hum,

Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.

Zinda rehne ka asal andaz, Sikhlaye hai humne,
Zindgi hai zindgi ke, Baad samjhaya hai humne,

Humne batlaya ki, Kudrat ka asal andaz kya hai,
Rang kya hai roop kya hai, Mehak kya hai swad kya hai,

Humne duniya mohbat, Ka asar zinda kiya hai,
Hmne nafart ko gale mil, Mil ke sharminda kiya hai,

In tarrki ke khudao, Ne to ghar ko dar bnaya,
In pde khali makano, Ko hmi ne ghar bnaya,

Hum na aate to taraki, Is kadar na bol pati,
Hum na aate to ye duniya, Khidkiya na khol pati,
Hai yasoda ke yha par, devki jaye hai hum,

Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.
CopyrightΒ© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Shashank K Dwivedi
Written by
Shashank K Dwivedi  27/M/Guwahati
(27/M/Guwahati)   
9.5k
   Juneau
Please log in to view and add comments on poems