Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala
usse jo heer samjha to mujhe ranjha bana dala
mili mujhko na wo iss baat se shikwa nahi fir v
usse pakar v naa paya ajab kissa bana dala !

akela jab v chalta hu tujhe hi saath pata hu
jami se aashma tak mai tera ehshas pata hu
khudaye ishq ne mujhpe v kya aisa sitam dhaya
mai girna v jo chuahu to sada upar hi jata hu !

tujhe mai pyar se dekhhu ya nafrat ka hawala du
jo jeevan me bhara ** tam to fir kaisa ujala du
mujhe to ishq ne barbaad kar tara bana dala
chamakta hu falak par mai jaami ko kya ujala du !

jaami se ashma ka ** safar tu saath chalta hsi
bina tere mujhe jeevan v ab abhishaap lagta hai
mujhe gum naa judai ka khuda meri yahi sun le
naa tu mujhko samajhti hai naa wo mujhko samajhta hai !!!!
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
JISKI DHUN PAR DUNIA NAACHE ,DIL AISA EK TARA HAI
JO HUMKO BHI PYARA HAI AYR JO TUMKO BHI PYARA HAI
JHUM RAHI HAI SAARI DUNIA JABKI HUMARO GEETO PAR
TAB KAHTI ** PYAR HUA HAI  KYA EHSHAN TUMHARA HAI

JO  DHARTI SE MABAR JODE USKA NAAM MUHABBAT HAI
JO SEESHE SE PATTHAR TODE USKA NAAM MUHABBAT HAI
KTARA*2 SAGAR TAK ** JATI HAI HAR UMR MAGAR
BAHATA DARAIA WAPAS MODE USKA NAAM MUHABBAT HAI

PANAHO ME JO AAYA ** TO USPE WAR KYA KARNA ?
JO DIL HARA HUA ** USPE FIR ADHIKAR KYA KARNA ?
MUHABBAT KA MAZA TO DUBANE  KI KASHMKASH ME HAI
JAB ** MALUM GAHRAI TO DARIA PAAR KYA KARNA

BASTI BASTI GHOR UDASI  PARVAT PARVAT KHALIPAN
MAN HIRA BEMOL BIK GAYA GHIS GHIS REETA TAN CHANDAN
IS DHARTI SE US AMBAR TAK DO HI CHEEJ GAJAB KI HAI
EK TO TERA BHOLAPAN HAI EK MERA DEEWANAPAN

TUMHARE PAAS HU LEKIN JO DURI HAI SAMAJHTA HU
TUMHARE BIN MERI HASTI ADHURI MAI  SAMAJHTA HU
BAHUT BIKHARA BAHUT TUTA THAPEDE SAH NAHI PAYA
HAWAO KE ISHARO PAR MAGAR MAI BAH NAHI PAYA
ADHURA ANSUNA HI RAH GAYA YU PYAR KA KISSA
KABHITUM SUN NAHI PAYI KABHI MAI KAH NAHI PAYA...

WRITTEN BY  : SHASHANK KUMAR DWIVEDI
                                          1993shashank@gmail.com (FACEBOOK)
Har ek nadiya ke hoto pe samandar ka taraana hai,
Yaha fariyaad ke aage sada koi bahana hai…!
Wahi baatein purani thi, wahi kissa purana hai,
Tumhare aur mere ***** me phir se jamana hai…!!
Kalam ko khhon me khud ke dubota hoon to hangama,
Girebaan apnaa aansu me bhingota hoon to hangama,
Nahi mujh par bhi jo khud ki khabar wo hai jamane par,
Main hansta hoon to hangama, main rota hoon to hangama.
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Himanshu rajput Jul 2017
aaj phir dastak hua hai dil k darwaje par....
khade hai wo he jinki rah dekh rahe the....
achanak aaye hai bade dino baad....
jaise kahi kho gaye the....

khushi is dil me bhi ** rahi hai unke aane se....
lag raha hai sapno se aa gya hai koi sapna leker....
ab door na hona ye he dua karta hai ye dil....
tumhe rok lu yahi ek wada deker....

bas me mere kuch bhi nahi....
phir bhi aazma raha hu taqdeer ko....
jo likha nahi naseeb me mere....
bna raha hu us lakeer ko....

ab ya to tu aayegi mere hisse me....
ya humara naam liya jayega bas kisso me....

                       By: HR Collection
Its in Hindi Language
Juno  Nov 2018
Kissa
Juno Nov 2018
Kissa oli musta.
Kokonaan, myös silmät.
Sen nimi oli Lunta,
Vaik’ se oli musta.
Shivam Porwal  Dec 2017
Sangharsh
Shivam Porwal Dec 2017
Me bhi tumhari tarah 1 aam insaan hu
Pareshaniya mene bhi dekhi hai, takleefe mene bhi sahi h
Kuch waqt k liye khud Ko kamzor bhi paya hai
Mera bhi man mushkilo ko dekhkar ghbraya hai,

Par inhi sab chizo se 1 tajurba paaya hai
Jisne Zindagi ko jeena ka 1 naya rang sikhaya hai

Sangharsh aur musibatein to jivan ka ek hissa hai
Aage bhi badna hai sangharsh bhi nahi krna hai ye to galat kissa hai

Sangharsh ke bina tajurba kaha se laoge
Aur tajurbe ke bina kya sikhoge aur sikhaoge

Ab waqt aa gaya hai tumhe himmat dikhani hogi,
Apni kathinaiyo par apni asfaltao par tumko Vijay Pani hogi
Apne irado ko or majbut banana hoga
Kuch karna hai kuch karna hai in jazbato ko dil me utarna hoga

Ye zindagi ki ladai hai tumhe khud hi ladni hogi
Apni kamiyo ko taqat banane ki kala tumhe sikhni hogi
Tum chaho to duniya jeet skte **
Apne har sapne ko haqueeqat me badal skte ** !!! :)
An inspiration poem which inspires to fight with the conflicts

— The End —