Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member

Members

Amanda Stoddard
United States    writer. poet. peer supporter
Cassie Stoddard
Missouri    I deserve someone who loves me back. I am composed of heartbreak and poetry.
Rachel Goddard
48/F   

Poems

Akta Agarwal  Apr 2021
Dard
Akta Agarwal Apr 2021
Dard ko bya karu kese
Dard to muskhurahat m v h
Kuch chuphi chahat m v h
Mohobbat k kuch alfaz v h dard
Aankhon S jhalakti barsaat v h dard
Wo tute khwab v h dard
Wo bunte aash v h dard
Aurat ki dabi hue awaaz v h dard
Dard zindagi ka ek sundar hissa h
Jo hme khushiyon ki talash tk le jata h
dard hi to wo sabdh h
Jo khushiyon S hmari pehechan krwata h
Bin dard k khushiyon k maaene kha h
Dard to wo gulab k fhul ke kaatein sa h
Jo fhul ko or khubsurat bnata h
Dard hme khudh dard S larna sikhata h
Dard khubsurat v hota h
Juwayriya  Sep 2021
Dard
Juwayriya Sep 2021
Dard bhi kya sikandar hai.
Is ko na kisi ki fikar, na dar hai.
Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai.
Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai.
Bas dard hi dard hai.
Dard se bachna hai.

Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath.
Chhin jaane ka dar,
Nazar lag jaane ka dar,
Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar.

Lekin dard ko kis cheez ka dar?
Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye,
toh phir kis baat ka dar?

Kitni ajeeb baat hai,
aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka.
Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai,
toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka.

Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai.
Magar dard hi toh azaadi hai.
Yeh khaathma nahin.
Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai
----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.