Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Jun 2020
In Aansuo ka bhi kuch samaj nahi ata mujhe,
Inhe palke to kabhi raas hi nahi aati,
Kabhi to ye itne khuddar ** jate he ki,
Sabke samne bilkul bahar nahi nikalte,
Aur Akele mein to bahar aane se ye bilkul nahi katrate!
Phir Kabhi ye na chahte hue bhi bahar aa jate hai,
Chahe fir wo Khushi mein muskurahat k saath aaye,
Ya phir gusse mein yuhi beh jaye!
Kya Gazab ka rutba hai in aansuo ka bhi!
Written by
Purva Barva  22
(22)   
  168
   Seema and Prerna Singh
Please log in to view and add comments on poems