Chehre pe gira jo woh boond uske Jhalak ke aayi meri muskan aise Ke Bikhri hui zindagi mein baras baithe Khoyi hui aashaon ki baarish jaise
Bhul na paunga woh din Pehli baarish jo bitayi thi saath mein Chaatha tha mere paas bhi Par ghus gaya tumhaare sang mein
Ek choti chathri aur hum do uske neeche Bheeg rahe the hum aadhe aadhe Par aise bheegne ka mazaa he hai kuch aur Jab Aaghosh ke woh pal mile na kabhi aur
Chalte rahe hum aahista apne bus ki or Kya batau kaise bitaye woh 5 minute Unke Bheege zulfein jo karr rahe the shor Chodke use apne bus mein Bheegta raha uss pal ki yaadon mein
Aaj bhi Barsat jab bhi kare Chaatha lene ko majboor Yaad tumhari he karta hu Ke kaash tum hoti Ghus jaata tumhare he chatri ki chaav mein Pehli baarish ki un boondon ko chakhne Ke kya swad aaj bhi wahi hai Jo uss din chakha tha saath mein humne
This is about that special rain we all have had in our life in HINDI. Hope you all like it!