Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Apr 2020
Toh Kya hua,
Ab hum saath nahi ,
Ek dusare ke paas nahi,
Duriyaa hai darmiya ,
Par ,pyaar ab bhi hai beimteha.
Tumne kaha tha ,
Hum dur ** rahe hai ,alag nahi.
Ha pata hai mujhe ,ki ab phele jaise
Na baat hoti hai
Na mulakat .
Na Teri kadamo ki ahat sunai padti hai,
Na Teri jalak dikhayi deti hai
Ha duriyaa hai darmiya
Par , pyaar bhi hai beimteha.
Suno,
Narajgi bhi tumhi se
Shikayat bhi tumhi se ,
Aur beshumaar pyaar bhi tum se hi hai.
Pyaar tumse tha, hai aur hemesha rahega.
Duriyaa hai darmiya
Par pyaar bhi hai beimteha.
Written by
LLZ  22/India
(22/India)   
302
     Reyna and Dharmendra Kumar
Please log in to view and add comments on poems