Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Apr 2018
Waqt ke sath sath jeena chhor diya...
Aur ja ke mehkhane me pina jor diya...
Berukhi si jindagi me dhoop me aur dhoop
Tanhai me sulaya khud ko...

Bewajah ek sapna jor kar...
Chal rahe hai

Yunhi

Chal rahe hai

yunhi
Na jane kanha jayenge...
Ya
Wanha jana theek rahega yanha log nahi jate...

Phir..
Chal diye

...
Manzilon ki talash me...
Pal pal manzil badalte...
Khuch rukhe se swabhaav me
Khud par bar bar hanste...
Kya yunhi kat jayenge saare raste
Khuch pagalpan me...
Aur
Khuch deewangi me...
Aur
Awarapan me
...
..
.
Ravindra Kumar Nayak
Written by
Ravindra Kumar Nayak  30/M/India
(30/M/India)   
Please log in to view and add comments on poems