Main hoon dasi Kisi ki naukrani nahin Na koi kaharin Main hoon devadasi Devalayon ki shobha Sada saanjh ko Kanak deep jala Devstuti kar Khud ko bhagyawati samajhti Main hoon devadasi Yahi to hai mera garv Wah din yaad hai aaj bhi Raja ne jis din meri pratibha Ko samjha Mujhe devadasi ka pad saunpa Mere premi mere devta Prabhu Sada raat ko jinke liye Ghunghroo pehen naachti main Lekin garima meri hai aisi Aashiq mere anek Naachti jab main Mujhe dekh Woh kya maza lootte Mere punya ko chhente! He prabhu Jeeti hoon ab Roz shoshan ke dar mein Uddhar Karo naath Tumhari patni nahin Aakul bhagat ki to guhar suno Uddhar Karo prabhu Kehlaun mein Punya devadasi!