Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Oct 2017
Nafrat hai mujhe us pyar se jo sirf **** se hote hai,
Rang-roop nazane kitne kism se hote hai,

Kahte hai log ki pyar tou hamesha adhura hota hai,
Saccha pyar karke dekho jarur pura hota hai,

Pyar me koi khwaish nahi hoti hai,
Na koi sikayat, na koi farmaish hoti hai,

Ye dhai akshar nahi shabdo ka bhandaar hai,
Jo aapko jina sikha de wahi saccha pyaar hai,

Kuchh tute-fute shabdo se aaj humne sacche pyar ko sazaya hai,
Badi muskil se dil ko phir se pyar karne ke liye manaya hai,.

Aankhen nam ** jati hai dusaro ka dard sunkar,
Ro lete hai hum bhi ji'h bhar ke es duniya se chhupkar,
Es duniya se chhupkar.......
Shrivastva MK
Written by
Shrivastva MK  23/M/INDIA
(23/M/INDIA)   
  2.9k
     --- and Shrivastva MK
Please log in to view and add comments on poems