Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mayank Garg Jun 2020
Zindagi mein toofaan aanaa bhi zaroori hai

Kyunki tabhi hume pata chalta hai ki

Kaun humara haath thaamkar bhaagega

Aur kaun haath chhudwakar bhaagega
Mayank Garg Jun 2020
Tumhari Parchaai hmare dil mein hai

Tumhari yaadein hmari aankhon mein hai

Tumhe hum bhulaye bhi toh kaise zalim

Tumhari mohabbat toh hmari saanso mein hai
Mayank Garg Jun 2020
-Jab se humne tumhe dekha hai
-Tab se hume kuchh aur na dikhta hai
-Na jaane kaisa jaadu kiya tumne humpe
-Koi aur chehra hume na bhata hai
Mayank Garg Jun 2020
Kuchh haar gaye taqdeer
Kuchh toot gaye sapne

Kuchh gairo ne loota
Toh kuchh bhool gaye apne
Mayank Garg Jun 2020
Aurat kabhi khilauna nahi hoti

Voh toh bhagwaan ke baad voh chamatkar hai

Jo maut ke mooh mein jaakar
Nayi zindagi ko janm deti hai
Mayank Garg Jun 2020
Dil ka dard chhupana kitna mushkil hota hai
Tootkar phir muskurana kitna mushkil hota hai
Ek baar kisike saath door tak jaake toh dekho
Tab pata chalega ki akele lautkar aana kitna mushkil hota hai
Mayank Garg Jun 2020
Hum usse mohabbat karte the
Ye shayad use pata na tha

Hum usse mohabbat karte the
Ye shayad use pata na tha
Voh bhi mohabbat usse kar baithi
Jise usse jyada uska **** pyaara tha
Next page