Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2020
Papa ka office se ghara aana
Bhag kar unke pass jana
unke samne masumiyat se apne hath ko failana
yad karte ** n, jara soch kar batana

Dosto ko roj naye ajib-ajib namo se chidhana
Bhai-Bahan ko bina bt satana
School na jane ka roj naya bahana
Chupke se dusro ka lunch box kha jana
yad karte ** n, jara soch kar batana

Andhere se darkar maa ki aanchal me chup jana
Papa ki kandho par baithkar mele me jana
Khilono ke liye jid P arr jaana
Choti choti galtiyon par maa ka thapki lagna
Yad karte ** n, soch kar batana

Na tension thi duniya ki,
na tha paisa kamana
Kya the bachpan ke bhi din
jaisa mano Sare khushiyo ka fasana
Yad karte ** na, jara soch kar batana
in the memory of childhood
Written by
Piyush Karchuli
598
 
Please log in to view and add comments on poems