Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Hira malik Nov 2018
Ehsaas kay dareechay main
Baynaam sa aik shahar basta hai
Har roz wahan log uth-tay hain
Qaroobar kay hangaamon main
Koe mun dho kar nikalta hai
Koe bay- awaz surr pay sarr dhunta hai
har roz wahan aik kahani hai
Jo tmhain mjhay sunani hai
Har saa-at wahan aik tamasha hai
Jo rukta aur shaur machata hai
Raat ki taareeki main
Jab sab thak kar laut aatay hain
Apnay **** ki thakawat ko
Wo  khawaboon kay ka-andhay utartay hain
Aur yunhi so jatay hain.....
Ehsaas kay dareechay main
Jo aik bay- naam sa shahar basta hai
Uss basti ki sab hastion main
Chupa bacha din bhar hansta hai
Aur shab dhalay, sarhanay  mun day kar rota rahta hai.....
Abhishek Ashish Mar 2018
Kuch baatein yuhi kahi to nahi jaati,

kai baatein aankhe bhi bayaa nahi kar paati

Kisi rail ki thar-tharahat mein shayad hai woh baat

Ya hai kisi pool ke sannatein mein...

Yeh jo kaath le taalein hain, apne lafzon par kyun daale hain

Ek ajeeb si narazgi sabhi ne paale hain!

Kabhi khil-khilati thi mere honthon ki hasi,

Aaj aalam hai ki murjhaye phool bhi humse sayaane hain...

Dil ki baatein dil ko hi satati hai,

Aa jayen agar lafzon tak toh apno ko rulati hain...

Zindagi badi ruhaani hai, harr mod ek nayi kahani hai,

Kuch baatein yunhi sunani hain

Kai baatein aankhon se samjhani hai...
Dear Quokka Jan 2021
Duniya ki bate aab aasama se krni hai, aasaman se milne ki purani si khwahish hai
  Kuch sapnoko mere sunani hai kahani badlonki, usi shehar mai mashhoor krna bhi unko hai
  Sapno ki dastan to kahani se shuru hoti hai.. Aur hakikat se khatam.. Hame to sirf aasman ki mehfhil mai sajish krni hai, Sach kahu to sapne to sirf yek bahana hai Hume to sirf aasman se bate badhani hai..
  Baton hi baton mai khuahish yek puri ** jayegi, khavobon ka ky unki dadhkne to hum umrbhar nibhayenge..
Kuch Yuhi tumse milna hai,
Bate hajoro krni hai...
Tum kuch na kehna,
Hum tumhare ankonse smj lenge..!!

— The End —