Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Himanshu rajput Mar 2018
Tanha nahi hu...

Bas kuch logo ka sath chhoda hai...
Baate bahut hai karne ko...
Bas hothon ne alfaaz chhoda hai...
Or kahu bhi kya un logo se,
jinhe mujh se jyada kisi or par yakeen  hai
Iljaam chota sa sahi...
Magar bahut sangeen hai...

Raato me jab bas chaand hota hai...
Kuch taare hote hai...
Mujhe dekh Kar jaane kyu rote hai...
Roya mai bhi tha us kamre me,
Jaha ek khidki bhi nahi thi...
Maano ek pal k liye duniya khatam ** gayi thi...

Ab to jee rahe hai bas...
Kuch khaas wajha nahi hai...
Jinhe dekhna chahte hai...
Un me se koi dikha nahi hai...
Wo sochte honge k wo bhot khush hai waha...
Koi hum se puche...
Saanse to chal rahi hai...
Magar kuch bacha nahi hai...

HR Collection
A M Sep 2020
Ab Yeh Sangeen Sa Sawaal
Phir Sai Kar Raha Hai Bhawaal
Aaakhir Mai Kaun Hu ||

Kya Hu Mai Ek Hawa Ka Jhaukha
Yaa Bas Woh Mitti Ka Anmol Tukda ||

Kya Hu Mai Woh Nadi Ka Paani
Yaa Bas Woh Wruksh Ki Sansaani.

Kya Hu Mai Woh Na Bujti Roshini
Yaaa Bas Woh Kaunai Ki Andheri.

Aaakhir Mai Kaun Hu ||

— The End —