Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Megha Thakur Jun 2020
Ye raste jane hume kis or le jate hai,
Zara sa apnate hai kabhi,
To kabhi begane lagne lag jate h.

Ye tedhe-medhe ulte-sidhe raste,
Kis gali kis nukad par mud jate hai,
Jaha bhi ye mud jate hai wahi se naye mod ban jate hai.

Har mod har dagar par ye naye kisse nayi kahaaniyan sunate hai,
Kabhi haste hai hume to kabhi hume rulate hai,
Kabhi kisi ki zindgi ki shuruat to kabhi kisi ke kahaani ka ant ban jate hai.

Yehi to hai jo hume zindgi ke har naye-purane pahlu se rubaru karwate hai,
Jo ye girate hai to uth kar fir chalne ka sabab bi to hume yehi samjhate hai,
Ye raste hi to hai jo musafiro ko unki manzil ki or le jate hai.

Jo kabhi hote hai naraz to paas bhi ye khud hi bulate hai,
Apno ki ehmiyat kya hai is zindgi me yehi to hume btate hai,
Hai apnate kisko kabhi to kabhi kisiko bhul bhi ye jate hai.

Zindgi hai chalte rahne ka naam ye raste hi to hume yaad dilate hai,
Har pal har ghari kuch naya hume sikhate hai,
Jo milate hai kisise kabhi to kabhi kisiko dur bhi to yehi le jate hai.

Or agar gaur se dekha aur socha jaye to,
Zindgi ke mayine aur is hasin falsafe ka ehsaas  waqt be waqt aksar ye raste hi hume karwate hai.
-Megha Thakur
Ankit Dubey May 2019
kyun aate ** mere sapno me,
kyun pagal mujhe banate **,
kyun mere man me tum rahte **,
kyun itna pyar karte **,
kyun yaad tumhari aati hai,
kyun aankhen meri roti hai ,
jab mujhse khafa ** jate **.....
kyun mere dil me rahte **,
'mere **' kyun ye kahte **,
kyun pyari pyari baaton se,
mere dil me utarte jate **,
kyu aur mujhe rulate **,
jab mujhse khafa ** jate **....
kyu meri nind churate **,
kyun pal pal yaad aate **,
khwabon ki buniyado me,
bas tum hi tum kyun rahte **,
jara mere dil me bhi dekho to,
kitna mujhe tadpate **,
jab mujhse khafa ** jate **...
kyun yaad tumhari aati hai,
kyun mere kareeb aate **,
kyun mujhse lipat tum jate **,
kyun itne kareeb ** mere,
kyun tum itne pyare **,
kyun behad khobsoorat **,
kyun har bat tumse judi hoti hai,
kyun itni khushiyan dekark pal bhar me rula jate **,
jab mujhse khafa tum ** jate **....
Bvaishnavi Jul 2023
Pata hai jab tum mile,
Pehli baar aisa aehsas hua,
Aise sunn ne waala hi toh chahiye tha,
Pehli baar sunne ka nahi baatien karne ka mann hua,
pehli baar aise gajab ke jawab dekne mile,
Aur tumne bhi toh kahan ki tumhe bolna bohot pasand hai,
Aur sunn na kam, par phir bhi mere baatien sunn na pasand karte the tum,
Abb Phir bhi tumse dil na lagau, yeh kahan se moomkin hotha,
Din bhar har cheez se aise juda diya tumhe,
Haan agar aaj baat hogi toh yeh poochungi usey,
Abb din bhar bas tumhari yaadien satate hai,
Woh saare cheej jinse tum jude **, raat bhar rulate hai,
Aur tum toh aise ghumshuda hogaye,
Jaise kabhi kuch hua hi nahi tha.
Kya tumhara koi kasoor bhi hai,
Yea yeh aehsaas sirf mere the,
Bohot dar tha ek tharfa pyaar se,
Abb toh hum usi mai barse.

— The End —