Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shivpriya Aug 2019
Ye ragini besudh nahi

Aaj mera ye udaas mijaaz
ka upadeshak dhoondh
raha tha virah ki raaton ko,
lekin naa- umeedon ne
use nahi diya koi sukoon!

Dheere dheere arj kar-kar ke
jab bheeg gaya tha ye dil!
Tab ek anokhi kshamata sirf
aajamaane ke lie, nahi chaahati
thi kissi sitam ko rijhaana!

Maana ki hai ye ek anubhav,
jo ki ban chuka hai garam ashk
aur taiyaar hai in aankhon ko
bharane ke lie! Par hum nahi
chaahate koi guzaree hui raahon
ko dhona!

Isiliye agar tumhe yaad
aaye kissi pratishth hunar ki,
toh apna muskuraata hua
chehara humaare paas jaroor laana!

Kyuki tum phir chhu paaoge,
is dil ke dilaasa bhare shabdon ko!


-Shivpriya
#shivpoetesspriya
LLZ Apr 2020
Suno,
Tumhari geet na sahi ,
Us geet ka sabd ban jao
Toh chalega Kya?

Tumhare saath na chal Pao
Parchayi ban jao
Toh chalega Kya?

Tumhari ragini na sahi
Swapan ban jao
Toh chalega Kya?

Umar bar saath na reh Pao
Ta Umar pyaar ka vada Karo
Toh chalega Kya?

Bolo,
Aise mohabbat Karo
Toh chalega Kya?

— The End —