Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
VENUS62 Jun 2014
Zindagi ne, is kaddar, kiya hai,  bas vaar
Bina koi,  churee,  ya koi,  talwaar

Ghaayal; dil ye hua,  baar, baar
Zindagi ne, di,  chotain hazaar

Gaye thay,  hum,  is tarah se,  bikhar
jooda na, paye thay phirse ye jigar

khaamoshi se, milta tha,  bas, karaar
tanhayeeon se , karte thay, iqraar

Jhanke, hum jab, dil ke, jo andar
Sach nikala, gehrayion se, baahar

Shikayat hai, ab na, koi takraar
karne lage hai, hum, khudse jo pyaar!



Translation in English

Self Love


Life has waged on me many a war
Without even a sword or a dagger so far

The heart was wounded time and again
Life hurt and caused me so much pain

My life was but thrown helter skelter
I could not piece my heart together

Silence was but my solace
Solitude was my only grace

When I dug deep within me
The truth I could clearly see

I have no grievances or complaints now
Having realized the importance of self-love
Arti Sep 2018
Hum jise  sach man rahe the
Wo to  tha  ek vaham
apno ne hi maar Diya Varna
Gairo mein Kya  tha dum
Bhool Hui sabhi ko samaj ke apna
Wo to gulam samajke todte Gaye sapna
Janam le liya Sirf itna tha gunah
Iski saari umra milti rahi saja
Socha tha hai humara hak, hai humara bhi mahatva
Badi der lagi samajne mein nahi humara koi astitva
Yeh aisi duniya jisme prem se bada aham
Saari umra jise sachchai samja wo to nikala bhram
E dile nadaan na karna koi ummeed
Jald hi seekh le  yeh hi hai jag ki reet
Jane kis Kalam se likhi khuda ne hamari kismat
Saari Zindagi pyaar na Mila mili hai sirf nafrat
Than li hai ab khud se muh na modenge
Jo bahar se na Mila use ander hi khojenge

— The End —