Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Hey Suraj itna yaad rahe
Sankat ek Suraj Vansh pe hai
Lanka ke neech Raahu dwara
Aaghat Dinesh Vansh pe hai

Mere aane se pahle yadi
Kirno ka Chamatkar hoga
To Surya Vansh me Suryadev
Nischit hi Andhkar hoga

Islie chipe rahna Bhagwan
Jab tak naa Jaddi Pahuncha du mai
Bas tabhi Prakat hona Dinkar
Jab sankat dasha mita du mai

Aasha hai swarth Prarthna ye
Sacche jee se Swikaaroge
Aatur ki Praan Awastha ko
Hokar karunardh Niharoge

Anyatha chhama karna Dinkar
Anjani tabay se paala hai
Bachpan se jaan rahe ** tum
Hanumat kitna Matwala hai


Mukh me tumko dhar rakhne ka
Fir wahi krur saadhak hoga
Bandi fir mochak tab hoga
Jab Lakshman ka dukh mochan hoga
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Wajah bewajah
bina baat hi kabhi bas,
log rootha kyu karte hain ?

Kyu
apni hi ummeedon ke tang jaal mein
din raat,
yun hi ghuta karte hain ?

Jaane anjaane
hum  “humare” “apno” se
wada jhootha kyu karte hain ?

Zindagi ki daud dhoop mein
kuch saathi bante hain
toh kuch
choota kyu karte hain ?

Dilon ke rishte
Aksar toota kyu karte Hain ?

Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai
Kai baar mile aur bichad gaye
Bhala majra kya hai ?

Iss banne aur sawarne ki
Iss tootne bikharne ki
Aakhir dawa bhi kya hai ?

Hey Nath,
Yeh das tumhare charano mein
Gira hua hai pooch raha
Mera dil hi kahin behaya kya hai
Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai

Iss bhava bandhan mein phansa  hua
Meri karun pukaar suno
Kukarmo ke daldal mein dhansa hua
Kar raha chitkaar suno
Davagni mein jal raha
Bheesan hahakaar suno

Daya karo ab hey Bhagvan
Ya ban Narsingh sanhaar karo
Aap ki sharan mein ab yeh dushtt
Iss neech ka uddhar karo

— The End —