Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2020
Wajah bewajah
bina baat hi kabhi bas,
log rootha kyu karte hain ?

Kyu
apni hi ummeedon ke tang jaal mein
din raat,
yun hi ghuta karte hain ?

Jaane anjaane
hum  β€œhumare” β€œapno” se
wada jhootha kyu karte hain ?

Zindagi ki daud dhoop mein
kuch saathi bante hain
toh kuch
choota kyu karte hain ?

Dilon ke rishte
Aksar toota kyu karte Hain ?

Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai
Kai baar mile aur bichad gaye
Bhala majra kya hai ?

Iss banne aur sawarne ki
Iss tootne bikharne ki
Aakhir dawa bhi kya hai ?

Hey Nath,
Yeh das tumhare charano mein
Gira hua hai pooch raha
Mera dil hi kahin behaya kya hai
Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai

Iss bhava bandhan mein phansa  hua
Meri karun pukaar suno
Kukarmo ke daldal mein dhansa hua
Kar raha chitkaar suno
Davagni mein jal raha
Bheesan hahakaar suno

Daya karo ab hey Bhagvan
Ya ban Narsingh sanhaar karo
Aap ki sharan mein ab yeh dushtt
Iss neech ka uddhar karo
Written by
Foolish Philosopher  31/M/NY
(31/M/NY)   
405
 
Please log in to view and add comments on poems