Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
XnwxrMxlik Mar 2021
Kamal ka phool kechad mein khilta hai
Par dekk tere damann mein kechad kitna hai

Pyar baatne se badta hai
Dharm ke naam phe tu kyu ladta hai
Janta hu koi naah hai masoom
Par akhir mein insan hi tho marta hai

Bhattka sa tu firta hai
Tutt jaane phe
Hasna kyu bhulta hai
Aye musaafir tujhe aage badna hai
Tu chalta re
Manzil ka pata nahi
Kar wahi jo lage dil ko sahi

Yaar aaise hai jo
Bhulane par bhi bhulte nahi
Bachpan ki yaade
Whai purani baate
Andheri raato mein hum ghum ** gaye sabhi

Kho diya humne apne aapko
Iss insano ki basti mein kahi

Abb kyu jalta hai tu
Naah raha ishq naah mehboob
Kya baacha hai karne ko mehsus
Dillagi aur bedardi ke beech hu masroof...
Guzar ta nahi ye shaam-e-gham  
Zindagi ke dukhon ka hai peham sitam  

Qadam qadam par thakan ka pehra  
Himaton ke chiragh bhi ** gaye madhham  

Musaafir hoon raahon ka jin ko khabar  
Manzilon ka saraab hai, dil ka maatam  

Khawab jo bune the, reza reza huye  
Haath khaali rahe, na raha koi dum  

Sawaal ye hai, aye falak-e-jafa  
Kitna aur sehna hai, bata ye sanam  

Guzar jaye ye shaam-e-gham kisi tarah  
Warna raah mein bikhar jayein hum

— The End —