Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Tere kufr ne ***** mujhe Aabid bana diya...
Dho dho ke zanb ashkon ne - saafi bana diya..

Guzre hue lamhon ka kya karun main tazkara....
Tere khayaal ke har pal ne faakir bana diya...

Tere kalaam e sang ne itna kiya maa’il...
Guftaar ke us qehr ne saaquib bana diya...

Saada dili ke jurm ne di itni ranjishein...
Dil e masoom ko dehr ne waqif bana diya...

Ab wasl ke khwaab bunte baithi ** jo “Ain”...
Dekho ke hijr ne tumhe khwabid bana diya...
Taa'miil-e-bandagi ke hinaii-kaagaz par
Ta-umr kaaliik pothti hain maine
Na theek se kufr kar saka hoon
Na theek se ibaadat hui hain

Mashq-e-tasawwur me baa'is-e-hasraton ka
Ta-umr qatl-e-aam kiya hain maine
Na theek se aabaad ** saka hoon
Na theek se barbaadi hui hain

Rishton ke bosiida sahn-e-gulzaar se
Ta umr bas kaante hi jode hain maine
Na theek se dosti kar saka hu
Na theek se dushmanii hui hain

Tark-e-ta'alluqaat ke shatranj-baazii mein
Ta-umr faqat maat khaayi hain maine
Na theek se dhoke khaa saka hu
Na theek se dhokebaazi hui hain

Mere gunaaho ki salaabat ke khayaalon mein
Ta-umr 'aalam-e-barzakh me guzaari hain maine
Na Khuuda se ruu-ba-ruu ** saka hu
Na Ibliis se mulaqaat hui hai

— The End —