Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mere Hujre maiN Nahi aur kahiN per rakhdo....
Aasman laye **? Le aao ZameeN par rakh do....

Ab kahaN dhuNdne jaogey humarey qaatil,
Ap to qaatl ka ilzaam humi par rakh do...

Usne kuch Taak pe tutey diye rakhe haiN,
Chaand TaaroN ko le jaa kar wahiN par rakha do....

Kashti tera naseeb chamakdar kar dia,
Is paar k thapedoN ne us par dia,

Afwaah thi ki meri tabiyat kharab hai,
LogoN ne puch puch k bimar kar dia...

Do gaaz sahi magar ye meri milkiyat to hai,
Aey maut tune mujhe zamidaar kar dia.....
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
#love   #romance   #feeling
Syed S M Tabish Mar 2014
Main Aur mere roommates
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Ghar saaf hota to kaisa hota
Main kitchen saaf karta, tum bathrooom dhote
main hall saaf karta, tum balcony dekhte
Log is baat pe hairaan hote
aur us baat pe haste….

Main aur mere roommates,
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Yeh hara bhara sink hai
ya bartanon ki jang chidi hui hai
Yeh colour full kitchen hai
ya masalon se holi kheli hai
Hai farsh ki nayi design
ya doodh, beer se dhuli hui hain

Yeh cellphone hai ya dhakkan,
sleeping bag ya kisika aanchal,
ye airfreshner ka naya flavour hai,
ya trash bag se ati badboo
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut
ke heater phirse kharab hua hai
Yeh sonchta hain roommate kab se gum sum -
Ke jab ke usko bhi yeh khabar hai
Ke machar nahi hai, kaheen nahi hai
magar uska dil hai ke kah raha hai
machar yaheen hai, yaheen kaheen hai !

Toand ( pet ) ki ye haalat, meri bhi hai, uski bhi,
dil mein ek tasvir idhar bhi hai, udhar bhi
Karne ko bohot kuch hai magar kab kare hum
Kab tak yoon hi is tarah rahe hum
Dil kahta hai Safeway se koi vaccum cleaner la de
ye Carpet jo jine ko zoonz raha hai, fikwa de
Hum saaf rahe sakte hai, logon ko bata dain,
Haan hum roommates hai – roommates hai – roommates hai

Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi..

Sab ko bata dain..
Rabab baj rahi thi kahi, jaha khuda bhi naach raha tha,
Phir na jaane kaunsi yaad-e-dard baraat leke agayi.

Naghma jo lehrake aayi, banke sur-e-shahen shah,
Wo sur jo nafs se mile, to khud dard banke beh gayi.

Aye mere jaan-o-dil, jamal-e-mah suna teri nazm-e-kamal,
Hum to ro rahe hain, jab se teri lafzon, aasu ban ke beh gayi.

Andaaz mat pucho koi, apna batane layak nahi rahi,
Khair agar puch hi liya hai, to kya batayen, koi andaz hi nahi rahi.

Bata to denge hum, par koi kyun sunega,
Khair agar sun hi liya hai, to sun ke bhi kya samjhega.

Baatein to bohot hain, gar koi sunna chahe to,Par kaun sunne ke liye baitha rahe?
Khair agar baith hi gaya **, to ek be-kafan lash ka,Nazm-e-ashk bhi sun ke jao.

Ro to nahi rahe the hum, wo kam to apna lafz kar raha tha,
Achanak wo rabab yaad agayi, jis pe khuda nach raha tha.

Hum to baithe the, ab khare ** gaye,
Na jaane apna rone ki awaaz, us mehfil ko kharab na karde.

Ab mai chal raha hoon, kahi aur jaa raha hoon,
Kidhar jaa raha hoon, utna nahi pata,
Bas rabab se dur chala jaun,
Nayi mehfil sajane, udhar firse nazm-e-ashk bhi suna na hai.

— The End —