Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
AADI Dec 2019
voh khilkhilaati hansi raaz hai iska yaa tera mujhe ektak dekhe jaana
najaane kyun main tujhse itna pyaar karti hu ...
pyaar toh pyaar main voh bhi beshumaar karti hu...
jhootha hai tu jaanti hu magar phir bhi pata nhi kyun aitbaar karti hu...
jaanti hoon tu nhi aaega mgr phir bhi roz tera intezaar karti hu...
kuch is tarah main apne 24 ghnte kharaab karti hu ..
thaki nhi hu intezaar se abhi jaa tere liye ek aur saal brbaad krti hu
kuch is qadar main tujhse pyaar krti hu aur voh bhi beshumaar karti hu !
-aadi
Tujhe dekhte hi mein khush hua
Tune mana kiya  ishq ki duniya
toh samundar me doob gaya mein
Log kehte hai...ab tum pagal aashiq **
Meine kaha haan hoon toh hoon..
Ishq toh dariya hai ...
Sacha pyaar aur naseeb...
Hasti lakirein...
Ghoomti pyaar ki botal
Jaam e ishq
Samundar kinare baitha hu...
Jhootha hi sahi haan keh de!
Wajah bewajah
bina baat hi kabhi bas,
log rootha kyu karte hain ?

Kyu
apni hi ummeedon ke tang jaal mein
din raat,
yun hi ghuta karte hain ?

Jaane anjaane
hum  “humare” “apno” se
wada jhootha kyu karte hain ?

Zindagi ki daud dhoop mein
kuch saathi bante hain
toh kuch
choota kyu karte hain ?

Dilon ke rishte
Aksar toota kyu karte Hain ?

Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai
Kai baar mile aur bichad gaye
Bhala majra kya hai ?

Iss banne aur sawarne ki
Iss tootne bikharne ki
Aakhir dawa bhi kya hai ?

Hey Nath,
Yeh das tumhare charano mein
Gira hua hai pooch raha
Mera dil hi kahin behaya kya hai
Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai

Iss bhava bandhan mein phansa  hua
Meri karun pukaar suno
Kukarmo ke daldal mein dhansa hua
Kar raha chitkaar suno
Davagni mein jal raha
Bheesan hahakaar suno

Daya karo ab hey Bhagvan
Ya ban Narsingh sanhaar karo
Aap ki sharan mein ab yeh dushtt
Iss neech ka uddhar karo

— The End —