Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur
Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala
Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein
Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske
Usi metro ki tarah par dheere zara
Thandi hawayei hain.
Usme goonjta mera aaj khada
Kuch thandak hai inn hawaon mein
Aur bohot sara sukoon bhara

Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak?
Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya
Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin?
Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya
Kya raambaan sukh yahi toh nahi
Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi
Kya Ramcharitmanas mein hanumat
Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi?

Aisa hi amritmay bachpan mein,
yaad hai mujhko lagta tha
Zameen se shuru uss lambi khidki
Se yahi chaand chamakta dikhta tha
Mama sa ban chup shant bhav se
Kuch baatein meri sunta tha

Kyunki khud bhumi par bistar pe so
Holi mujhe khilayi thi
Khud bhookhe reh uss ke paiso
Se mere bhai ko idli chakhayi thi
Bohot pasand thi usko uski idli
Aur rangbhari mujhe holi meri

Kya kabhi unhen main unka wapas
Ye rinn chukta kar paungi
Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar
Unke liye itna kar paungi?
Kya usi chaand ki thandak si khushiyan
Unki jholi mein bhar paungi?

Kya bhool maaf karne ki hadd
Ko paar kar kar ke thake nahi wo?
Kya raat bhar bhi jagkar subah
Hans dawa banna bhoole nahi wo
Kya insaani roop mein hain
Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
Fasana bayan kr raha hoon apni rooh k hoslo ka..
Mujh gareeb..nacheez ko manzilo ka nishan mila..ye karam tha mere kuch azeez doston ka

Apne hoslo k dum pe.. Jhoojhta raha Zindagi se.. Main subah shaam.. din raat..
Hunar ki kalam se hi likhoonga apni taqdeer..Jigar me dhaan li thi ye baat

Zakhm khata raha Dil par bahut waqt tak.. Walid ka kaha maan kar..
K baccha bana rahega toh bacha rahega..saare sabak zeher ki tarah peeta raha..sabhi ko apna maan kar

Seekhne ki koi umra nahi yaaro.. Har pal ye zindagi naya sabak seekhayegi..
Dil khol k jholi bhar lena..jeewan roopi kashti yehi paar lagayegi

Mushqil daur me kai martaba mehsoos ki.. Maine khuda ki maujoodgi apni bagal me..
Uska sehlana..mere sir aur meri kamar me..
Kandha numa sirhana diya kai dafa usne sisakti rooh ko..
Dilasa diya..Tujhe mazboot banane ko imtihan le raha hoon tera intaha tak..Tu hosla rakh..Main hoon toh!

Waqt ne bhar diya sabhi zakhmo ko marham bankar..
Namak jo baha tha aakhon se..woh mere pairo ki zameen..sir ki chat ban gaya hai chankar
Har pal shukrana karta hu khuda teri rehmat ka..
Dua kubul krta hai tu sabhi ki apne dar pe..karz hum adaa kr nahi sakte..teri is zehmat ka

Meri sabhi doston ko ek maskeen hidayat hai..
Kissi bhi cheez se Insaani zindagi ki kimat kam hai..kyu issi ki bahutayat hai..
Manzilo ka nasha hai toh chamkao apne hunar ko is kadar..
Jhuka do un sabhi namurado ko..lage honge jo hosle **** karne tumhare..zindagi ki har dagar par😊

— The End —