Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ek geet hotho par likhna
        Yani saare geet hreeday ki
        Meethi so choto par likhna...
        Ek geet palko par likhna
        Ek geet palko par likhna
        Yani saare geet hreeday ki
        Meethi si choto par likhna
      
      Jaise -
        Jaise chuv jata h koi
        Kanta nange paow me
        Jaise geet utar aate hai
        Mere mann me gaao me

        Jab v muuh dhak Leta hu
        Teri julpho ke chhaon me
        Kitne geet utar aate hai
        Mere Mann me gaao me

        Ki palke agar jhuki to jaise ×2
        Dharti ke unnmad soo gye
        Palke agar uthi to jaise
        Bin bole sanwaad ** gye ×2

      Jaise -
        Jaise dhoop chunaria odhe
        Aa  baithi ** chhaon me
        Jab bhi muh  dhak Leta hu
        Teri julpho ki chhaon me... ×2
        Kitne geet utar aate h
        Mere Mann me gao me... ×2
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shrivastva MK Apr 2018
Chahe aaye aandhi ya fir koi tufaan ,
Kamzor nahi padegi hamari udaan .
Chhaon ** ya kadakti dhoop ,
Nikhrega hamara naya roop .

Lakh mushibat aaye nahi rukenge hum,
Badhte jayenge yuhi hum kadam dar kadam,
Rastey chahe kitni bhi mushkil kyon na **,
Har mushkilo ko chirte hue ek din manzil tk pahuch jayenge hum

Bheedh hamesha us raastey par hai chalti ,
Jahan ** na koi mushkil khadi .
Par humne chuna hai raasta alag ,
Kyunki karna hai humne kuch alag .

Itihaas rachna hai tou bhid se alag hona sikho,
Paristithio se daro nhi paristithio ko badalna shikho,
Ek din wo mukaam tumhe mil hi jayega,
Dekh tumhari safalta ko ek din kismat bhi muskurayega,

Mehnat ke bal par likhenge khud ki takdeer,
Takleef ke hain hum mahaveer.
Na chahat hai sitaron ki ,
Na tamanna hai nazaron ki.

Sirf wahi log itihaas rach ke dikhaya hai,
Jisne apne taklifon ko gale lagaya hai,
whi log asafal rah jate hai,
Jo mushkilo se darr tut jate hai,

Har mushkil ka saamna kar ,
Pahuchna hai apni manzil ke shikhar par .
Khamoshiyan sabra ka imtehaan ban gayi ,
Apne man mein Umeed ki jyot jag gayi .

Hum wo hai jo Kismat par rote nahi
Jo rote hai unke kuchh hote nahi,
Mandabuddhi wala einstein tou paper wala kalaam kahlaya,
Apne kaarnamo se hai vishwa me ek alag pahchaan banaya,

Laakhon kasht aa jaye saamne ,
Hamara ishwar bada hai us har takleef ke aage .
Musibaton se baghna na humne kabhi seekha ,
Hamari nanhi akhiyon ne bahut kuch hai dekha.

Milkar humne ye thana hai,
Naam nahi hume etihaas banana hai,
Ab kisi bhi mushkil se na darna hai,
Kyuki Hume kuchh alag karna hai,
Kuchh alag karna hai..


Collab Poem by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK.....…....✍

— The End —