Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Sep 2017
Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Log sirf unse dosti karte,
Jinke dilo me sirf mohabbat ke raag hote,

Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Sirf unse hi pyaar hota,
Jinke dilo ke liye wo khaas hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To Pet sirf unka bharta,
Jo sach me us roti ke mohtaaz hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To Na padti zarurat en hothon ki,
Kyoki sirf dilon se hi baat hote,

Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Har ghar mandir ban jata,
Aur Maat-pita us mandir ke bhagwan hote,

Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To na koi dharm hota aur na koi mazahab ,
Hum sab ek hote aur sabhi se pyar hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Na milta phir kisi ko bhi dard bhare pal,
Na kavi hote aur nahi sayari bhare andaaz hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Kaun puchhta en banawati chehare ko,
Tab to **** se nahi sirf ru'h se pyaar hote,
Sirf ru'h se pyaar hote...
Dharmendra Kumar Oct 2020
Kuch riste dil ke hote hai
O kisi naam ke mohtaaj nahi hote
Dur hai duriya kitni bhi **
Vakt ke sath hai
Vakt ke baad bhi hai
Har vakt sath nahi hai
Lekin har vakt pass hai
Baat bhale na hoti **
Lekin dil me baat hoti hai
Chehra samne bhale na **
Palko me chehare ha ehsaas to hai
Aacha lagta hai is pyaar ko paa kar
Na baat, na mulakaat
Fir bhi chahat hai beshumaar
Intzaar ek baar milne tak kar karna
Fir chale jaana
Ek baat kahni hai
Sayad bahut zaruri bhi hai

— The End —