Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Wajah bewajah
bina baat hi kabhi bas,
log rootha kyu karte hain ?

Kyu
apni hi ummeedon ke tang jaal mein
din raat,
yun hi ghuta karte hain ?

Jaane anjaane
hum  “humare” “apno” se
wada jhootha kyu karte hain ?

Zindagi ki daud dhoop mein
kuch saathi bante hain
toh kuch
choota kyu karte hain ?

Dilon ke rishte
Aksar toota kyu karte Hain ?

Yeh roothne manane ka akhir silsila kya hai
Kai baar mile aur bichad gaye
Bhala majra kya hai ?

Iss banne aur sawarne ki
Iss tootne bikharne ki
Aakhir dawa bhi kya hai ?

Hey Nath,
Yeh das tumhare charano mein
Gira hua hai pooch raha
Mera dil hi kahin behaya kya hai
Ya paap ka ghada shaayad bhar gaya hai

Iss bhava bandhan mein phansa  hua
Meri karun pukaar suno
Kukarmo ke daldal mein dhansa hua
Kar raha chitkaar suno
Davagni mein jal raha
Bheesan hahakaar suno

Daya karo ab hey Bhagvan
Ya ban Narsingh sanhaar karo
Aap ki sharan mein ab yeh dushtt
Iss neech ka uddhar karo
Arsala Jul 2023
kabhi toot ke bikharne lagu jo
To aake bahon mein samet lena tum,
kho jau jo kabhi kisi mod pe
To aake raah dikha dena tum,
Ladkhada jau jo mein agar
aake mera hath tham lena tum,
rooth jaaye agr Sara Jahan bhi mujhse
tab bhi mera sath dena tum,
mein aau tere hisse, tu aaye mere hisse
kuch is tarah ye duniyan bant lena tum,
puche jo koi haq hai kiska tumpe
bus ek mera hi naam lena tum,
kabhi toot ke bikharne lagu jo
To aake bahon mein samet lena tum....
Shivpriya Apr 2019
Sahme hue dukhon ne
jab mujhe sataaya, tab
bikharne se bachaya
tumne!

Uski zinda chalakti
hui umang, ka khayaal
rakha tumne!

Ye alfaazon ke
ehasaas hain,
abhi bhi bekhabar!

Inki behaki si naraazgi
abhi bhi laati hai,
aankhon
mein nammi!

Dil tootne ki awaaz nai hoti,
isliye bachalo muje.
Ye gam-gusaar dil dhundta hai
tumara aetbaar!


Shivpriya
#beautifulthingsandemotions
#hindipoem

— The End —